Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai, Urdu Ghazal By Manmohan Talkh

Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manmohan Talkh. Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمانہ ہے کہ مجھے روز شام ڈستا ہے

منموہن تلخ

زمانہ ہے کہ مجھے روز شام ڈستا ہے

مگر یہ دل ہے کہ پہلے سے اور ہنستا ہے

تو یہ بتا انہیں کس نے بنا دیا ایسا

کہ تیرے سامنے ہر کوئی دست بستہ ہے

میں اس کو چھوڑ کے اب جاؤں تو کہاں جاؤں

یہی تو ایک میری زندگی کا رستہ ہے

عجیب بات ہے لگتا ہے یوں ہر اک چہرہ

کہ بولنے کے لیے جس طرح ترستا ہے

جو سکھ کا سانس ملے عمر بھر کے بدلے بھی

تو میری مان کہ سودا یہ پھر بھی سستا ہے

سب ایک دوسرے کو اب تو یوں بھی جانتے ہیں

کہ ایک ایک کا اندر سے حال خستہ ہے

شکایت اور تو کچھ بھی نہیں ان آنکھوں سے

ذرا سی بات پہ پانی بہت برستا ہے

کراہتا بھی ہے ہر آن جو بھی زندہ ہے

اور اپنے گرد شکنجہ بھی خود ہی کستا ہے

ہمارا کل کوئی پاتال میں رکھ آیا ہے

سمندروں میں سے کہتے ہیں کوئی رستہ ہے

کسی طرح بھی تو سمجھا سکے نہ ہم اس کو

زمانے سے یہ کہو خود پہ تلخؔ ہنستا ہے

منموہن تلخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai

Manmohan Talkh

zamana hai ki mujhe roz sham Dasta hai
magar ye dil hai ki pahle se aur hansta hai

tu ye bata unhen kis ne bana diya aisa
ki tere samne har koi dast-basta hai

main us ko chhoD ke ab jaun to kahan jaun
yahi to ek meri zindagi ka rasta hai

ajib baat hai lagta hai yun har ek chehra
ki bolne ke liye jis tarah tarasta hai

jo sukh ka sans mile umr bhar ke badle bhi
tu meri man ki sauda ye phir bhi sasta hai

sab ek dusre ko ab to yun bhi jaante hain
ki ek ek ka andar se haal KHasta hai

shikayat aur to kuchh bhi nahin in aankhon se
zara si baat pe pani bahut barasta hai

karahta bhi hai har aan jo bhi zinda hai
aur apne gird shikanja bhi KHud hi kasta hai

hamara kal koi patal mein rakh aaya hai
samundaron mein se kahte hain koi rasta hai

kisi tarah bhi to samjha sake na hum us ko
zamane se ye kaho KHud pe 'talKH' hansta hai

(548) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai written by Manmohan Talkh at UrduPoint. Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai is one of the masterpieces written by Manmohan Talkh. You can also find the complete poetry collection of Manmohan Talkh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manmohan Talkh' above.

Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.