Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya, Urdu Ghazal By Mansoor Ejaz

Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mansoor Ejaz. Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ساحل پہ مرادوں کا سمندر نہیں آیا

منصور اعجاز

ساحل پہ مرادوں کا سمندر نہیں آیا

وہ شہر میں ہو کر بھی مرے گھر نہیں آیا

دروازے پہ دستک ہوئی زنجیر بھی کھنکی

جھونکا تھا ہوا کا کوئی اندر نہیں آیا

تو جب سے مجھے چھوڑ کے پردیس گیا ہے

دنیا میں مری کوئی سکندر نہیں آیا

میں شہر میں پھرتا ہوں لیے چاک گریباں

لیکن وہ ستم گر وہ رفوگر نہیں آیا

مجنوں پہ لڑکپن میں اٹھایا تھا اسد نے

منصورؔ مرے سر پہ وہ پتھر نہیں آیا

منصور اعجاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya

Mansoor Ejaz

sahil pe muradon ka samundar nahin aaya
wo shahar mein ho kar bhi mere ghar nahin aaya

darwaze pe dastak hui zanjir bhi khanki
jhonka tha hawa ka koi andar nahin aaya

tu jab se mujhe chhoD ke pardes gaya hai
duniya mein meri koi sikandar nahin aaya

main shahar mein phirta hun liye chaak-e-gareban
lekin wo sitamgar wo rafugar nahin aaya

majnun pe laDakpan mein uThaya tha asad ne
'mansur' mere sar pe wo patthar nahin aaya

(411) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya written by Mansoor Ejaz at UrduPoint. Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya is one of the masterpieces written by Mansoor Ejaz. You can also find the complete poetry collection of Mansoor Ejaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mansoor Ejaz' above.

Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sahil Pe Muradon Ka Samundar Nahin Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.