Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein, Urdu Ghazal By Manzar Ayubi

Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manzar Ayubi. Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وصال و ہجر کے قصے نہ یوں سناؤ ہمیں

منظر ایوبی

وصال و ہجر کے قصے نہ یوں سناؤ ہمیں

اب اس عذاب شب و روز سے بچاؤ ہمیں

کسی بھی گھر میں سہی روشنی تو ہے ہم سے

نمود صبح سے پہلے تو مت بجھاؤ ہمیں

نہیں ہے خون شہیداں کی کوئی قدر یہاں

لگا کے داؤ پہ ہم کو نہ یوں گنواؤ ہمیں

تمام عمر کا سودا ہے ایک پل کا نہیں

بہت ہی سوچ سمجھ کر گلے لگاؤ ہمیں

گزر چکے ہیں مقام جنوں سے دیوانے

یہ جان لینا اگر کل یہاں نہ پاؤ ہمیں

ہمارے خوں سے نکھر جائے غم تو کیا کہنا

بڑھاؤ دست ستم دار پر چڑھاؤ ہمیں

کرشمہ سازیٔ فکر و نظر سے کیا حاصل

بنے ہو خضر تو پھر راستہ دکھاؤ ہمیں

یہ لمحہ بھر کا تصور تو جان لیوا ہے

جو یاد آؤ تو تا عمر یاد آؤ ہمیں

کتاب عشق ہیں لیکن نہ اتنی فرسودہ

کہ بے پڑھے ہی فقط میز پر سجاؤ ہمیں

اجڑ نہ جائے عروس سخن کی مانگ کہیں

خیال و فن کی نئی جنگ سے بچاؤ ہمیں

منظر ایوبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein

Manzar Ayubi

visal-o-hijr ke qisse na yun sunao hamein
ab is azab-e-shab-o-roz se bachao hamein

kisi bhi ghar mein sahi raushni to hai hum se
numud-e-subh se pahle to mat bujhao hamein

nahin hai KHun-e-shahidan ki koi qadr yahan
laga ke daw pe hum ko na yun ganwao hamein

tamam umr ka sauda hai ek pal ka nahin
bahut hi soch samajh kar gale lagao hamein

guzar chuke hain maqam-e-junun se diwane
ye jaan lena agar kal yahan na pao hamein

hamare KHun se nikhar jae gham to kya kahna
baDhao dast-e-sitam dar par chaDhao hamein

karishma-sazi-e-fikr-o-nazar se kya hasil
bane ho KHizr to phir rasta dikhao hamein

ye lamha bhar ka tasawwur to jaan-lewa hai
jo yaad aao to ta-umr yaad aao hamein

kitab-e-ishq hain lekin na itni farsuda
ki be-paDhe hi faqat mez par sajao hamein

ujaD na jae urus-e-suKHan ki mang kahin
KHayal-o-fan ki nai jang se bachao hamein

(584) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein written by Manzar Ayubi at UrduPoint. Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein is one of the masterpieces written by Manzar Ayubi. You can also find the complete poetry collection of Manzar Ayubi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manzar Ayubi' above.

Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.