Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain, Urdu Ghazal By Manzoor Hasan Nami

Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manzoor Hasan Nami. Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم اب جذبات‌ و احساسات سے یہ کام لیتے ہیں

منظور حسن نامی

ہم اب جذبات‌ و احساسات سے یہ کام لیتے ہیں

کسی کے چوٹ آئے ہم کلیجہ تھام لیتے ہیں

مسلسل روز و شب کی گردشوں سے کام لیتے ہیں

سکون صبح سے ہم اضطراب شام لیتے ہیں

سمجھتے ہیں ادائے شکر کو ہی کیف و سرمستی

تہی میخانۂ فطرت سے جب ہم جام لیتے ہیں

ستم بے فکر ہو کر بندہ پرور کیجئے ہم پر

ہم اپنی ذات پر ہر بات کا الزام لیتے ہیں

کیا کرتے ہیں قائم سرخیاں روداد الفت کی

مرے آنسو مرے زخمی جگر سے کام لیتے ہیں

قیامت پھر بپا ہونے لگی شوق شہادت میں

وہ اپنے ہاتھ میں پھر تیغ خوں آشام لیتے ہیں

محبت ہے خیال خام لیکن تیرے دیوانے

جنوں میں رات دن لطف خیال خام لیتے ہیں

یہ الفت ہے وہ سودا جس میں یوں ہی ہوتی آئی ہے

ہمیشہ دل جو دیتے ہیں غم و آلام لیتے ہیں

امیدیں سخت جانی بن گئی ہیں ورنہ اے نامیؔ

ہم اپنی موت سے پیغام پر پیغام لیتے ہیں

منظور حسن نامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain

Manzoor Hasan Nami

hum ab jazbaat-o-ehsasat se ye kaam lete hain
kisi ke choT aae hum kaleja tham lete hain

musalsal roz-o-shab ki gardishon se kaam lete hain
sukun-e-subh se hum iztirab-e-sham lete hain

samajhte hain ada-e-shukr ko hi kaif-o-sarmasti
tahi mai-KHana-e-fitrat se jab hum jam lete hain

sitam be-fikr ho kar banda-parwar kijiye hum par
hum apni zat par har baat ka ilzam lete hain

kiya karte hain qaem surKHiyan rudad-e-ulfat ki
mere aansu mere zaKHmi jigar se kaam lete hain

qayamat phir bapa hone lagi shauq-e-shahadat mein
wo apne hath mein phir tegh-e-KHun-asham lete hain

mohabbat hai KHayal-e-KHam lekin tere diwane
junun mein raat din lutf-e-KHayal-e-KHam lete hain

ye ulfat hai wo sauda jis mein yunhi hoti aai hai
hamesha dil jo dete hain gham-o-alam lete hain

umiden saKHt-jaani ban gai hain warna ai 'nami'
hum apni maut se paigham par paigham lete hain

(693) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain written by Manzoor Hasan Nami at UrduPoint. Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain is one of the masterpieces written by Manzoor Hasan Nami. You can also find the complete poetry collection of Manzoor Hasan Nami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manzoor Hasan Nami' above.

Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Ab Jazbaat-o-ehsasat Se Ye Kaam Lete Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.