Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki, Urdu Ghazal By Maqbool Ahmad Maqbool

Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Maqbool Ahmad Maqbool. Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

امید ہم سے نہ رکھنا فریب کھانے کی

مقبول احمد مقبول

امید ہم سے نہ رکھنا فریب کھانے کی

کہ ہم نے دیکھی ہیں نیرنگیاں زمانے کی

وفا کا راستہ ہے آج کس قدر سنسان

اب آرزو ہے کسے نقد جاں لٹانے کی

مری حیات پہ یہ کیسے پہرے ہیں یا رب

نہ رو سکوں نہ اجازت ہے مسکرانے کی

اجڑ گیا تو کسی طور پھر یہ بس نہ سکا

ہزار کوششیں کیں شہر دل بسانے کی

یہ شعر گوئی کا صدقہ نہیں تو پھر کیا ہے

نظر میں ہو گئے مقبولؔ ہم زمانے کی

مقبول احمد مقبول

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki

Maqbool Ahmad Maqbool

ummid hum se na rakhna fareb khane ki
ki hum ne dekhi hain nairangiyan zamane ki

wafa ka rasta hai aaj kis qadar sunsan
ab aarzu hai kise naqd-e-jaan luTane ki

meri hayat pe ye kaise pahre hain ya-rab
na ro sakun na ijazat hai muskurane ki

ujaD gaya to kisi taur phir ye bas na saka
hazar koshishen kin shahr-e-dil basane ki

ye sher-goi ka sadqa nahin to phir kya hai
nazar mein ho gae 'maqbul' hum zamane ki

(383) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki written by Maqbool Ahmad Maqbool at UrduPoint. Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki is one of the masterpieces written by Maqbool Ahmad Maqbool. You can also find the complete poetry collection of Maqbool Ahmad Maqbool by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maqbool Ahmad Maqbool' above.

Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ummid Humse Na Rakhna Fareb Khane Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.