KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai, Urdu Ghazal By Mariyam Fatima

KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mariyam Fatima. KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود کے سائے سے بھی حیران نظر آتا ہے

مریم فاطمہ

خود کے سائے سے بھی حیران نظر آتا ہے

اپنے گھر میں بھی وہ مہمان نظر آتا ہے

کس کا چہرہ ہے جو بے ساختہ ہوتا ہے عیاں

خواب بھی آنکھ میں حیران نظر آتا ہے

اس نے بھی کوئی خبر گھر کے اجڑنے کہ نہ لی

جس کی چھت سے مرا دالان نظر آتا ہے

آمد یار میں تاثیر بہاروں سی ہے

چہرہ چہرہ جو گلستان نظر آتا ہے

کسی نادان نے پھر ذکر وفا چھیڑا ہے

یار محفل میں پریشان نظر آتا ہے

مل رہا ہے وہ بہت پیار سے اے دل محتاط

اک نئے درد کا عنوان نظر آتا ہے

میں بھی مسرور نہیں اس سے کنارا کر کے

وہ بھی اس اور پشیمان نظر آتا ہے

زندگی یاد دلاتی ہے جدائی تیری

سانس لینے کا جو امکان نظر آتا ہے

رخ بدل لیتا ہے بے ساختہ رہبر میرا

جب بھی رستا کوئی آسان نظر آتا ہے

ہیں یہاں قید کئی یاد کے بیکس پنچھی

اپنا کمرا مجھے زندان نظر آتا ہے

مریم فاطمہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai

Mariyam Fatima

KHud ke sae se bhi hairan nazar aata hai
apne ghar mein bhi wo mehman nazar aata hai

kis ka chehra hai jo be-saKHta hota hai ayan
KHwab bhi aankh mein hairan nazar aata hai

us ne bhi koi KHabar ghar ke ujaDne ki na li
jis ki chhat se mera dalan nazar aata hai

aamad-e-yar mein tasir bahaaron si hai
chehra chehra jo gulistan nazar aata hai

kisi nadan ne phir zikr-e-wafa chheDa hai
yar mahfil mein pareshan nazar aata hai

mil raha hai wo bahut pyar se ai dil mohtat
ek nae dard ka unwan nazar aata hai

main bhi masrur nahin us se kinara kar ke
wo bhi us or pasheman nazar aata hai

zindagi yaad dilati hai judai teri
sans lene ka jo imkan nazar aata hai

ruKH badal leta hai be-saKHta rahbar mera
jab bhi rasta koi aasan nazar aata hai

hain yahan qaid kai yaad ke bekas panchhi
apna kamra mujhe zindan nazar aata hai

(579) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai written by Mariyam Fatima at UrduPoint. KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai is one of the masterpieces written by Mariyam Fatima. You can also find the complete poetry collection of Mariyam Fatima by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mariyam Fatima' above.

KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Ke Sae Se Bhi Hairan Nazar Aata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.