Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz, Urdu Ghazal By Maseehullah Khan Ataa

Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Maseehullah Khan Ataa. Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عیش و طرب سے کام نہ آرام سے غرض

مسیح اللہ خاں عطاء

عیش و طرب سے کام نہ آرام سے غرض

دیوانے کو نہ گردش ایام سے غرض

اک دل تھا اس کے پاس وہ پہلے ہی دے دیا

اب کیا ہے اس کو عاشق ناکام سے غرض

اللہ رے یہ شوق ملاقات مدعی

دیکھا جو اس کو کود پڑے بام سے غرض

یہ اپنے بخت خفتہ کی ساری ہیں خوبیاں

جو آ کے سو گئے وہ سر شام سے غرض

واعظ تو چھیڑ رند خرابات سے نہ کر

جب تجھ کو کچھ نہیں مئے گلفام سے غرض

شطرنج ہے لگی ہوئی چوسر بچھی ہوئی

محنت سے واسطہ نہ کسی کام سے غرض

کرنی ہے اپنی منزل مقصود طے جسے

رکھتا نہیں وہ راہ میں آرام سے غرض

سہہ سہہ کے ظلم ہو گیا ایذا پسند دل

رکھتا نہیں میں راحت و آرام سے غرض

گمنام شاعروں میں مرا نام ہے عطاؔ

انعام سے غرض نہ مجھے نام سے غرض

مسیح اللہ خاں عطاء

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz

Maseehullah Khan Ataa

aish-o-tarab se kaam na aaram se gharaz
diwane ko na gardish-e-ayyam se gharaz

ek dil tha us ke pas wo pahle hi de diya
ab kya hai us ko aashiq-e-nakaam se gharaz

allah re ye shauq-e-mulaqat-e-muddai
dekha jo us ko kud paDe baam se gharaz

ye apne baKHt-e-KHufta ki sari hain KHubiyan
jo aa ke so gae wo sar-e-sham se gharaz

waiz tu chheD rind-e-KHarabaat se na kar
jab tujh ko kuchh nahin mai-e-gulfam se gharaz

shatranj hai lagi hui chausar bichhi hui
mehnat se wasta na kisi kaam se gharaz

karni hai apni manzil-e-maqsud tai jise
rakhta nahin wo rah mein aaram se gharaz

sah sah ke zulm ho gaya iza-pasand dil
rakhta nahin main rahat-o-aram se gharaz

gumnam shairon mein mera nam hai 'ata'
inam se gharaz na mujhe nam se gharaz

(765) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz written by Maseehullah Khan Ataa at UrduPoint. Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz is one of the masterpieces written by Maseehullah Khan Ataa. You can also find the complete poetry collection of Maseehullah Khan Ataa by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maseehullah Khan Ataa' above.

Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aish-o-tarab Se Kaam Na Aaram Se Gharaz, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.