Hind Ki Ye Shab-e-mahtab, Urdu Nazam By Masud Husain Khan

Hind Ki Ye Shab-e-mahtab is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Masud Husain Khan. Hind Ki Ye Shab-e-mahtab comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Hind Ki Ye Shab-e-mahtab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہند کی یہ شب مہتاب

مسعود حسین خاں

آج بھی تیرے لئے سوزش غم کم تو نہیں

زخم دل پر ترے ہمدم کوئی مرہم تو نہیں

تو جو پھولوں کی طرح پھول کر اتراتا ہے

دیکھنا یار ترے جام میں شبنم تو نہیں

ہند کی یہ شب مہتاب بہت خوب سہی

قلب انجم کا مگر درد ابھی کم تو نہیں

چاندنی رات کے وعدے بھی وفا ہوتے ہیں

اے غم دل یہ سبب لائق ماتم تو نہیں

تشنہ کامی مجھے مجبور تو کرتی ہے مگر

تیرے ساغر سے جھجکتا ہوں کہیں ہم تو نہیں

تو نے آسودگیٔ شوق سے کھایا ہے فریب

قلب شاعر میں جو دھڑکن ہے وہ مدھم تو نہیں

آج مسعودؔ کی پلکوں پہ دئے ہیں روشن

ساتھیو ان کے ستاروں سے مگر کم تو نہیں

مسعود حسین خاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hind Ki Ye Shab-e-mahtab

Masud Husain Khan

aaj bhi tere liye sozish-e-gham kam to nahin
zaKHm-e-dil par tere hamdam koi marham to nahin

tu jo phulon ki tarah phul kar itraata hai
dekhna yar tere jam mein shabnam to nahin

hind ki ye shab-e-mahtab bahut KHub sahi
qalb-e-anjum ka magar dard abhi kam to nahin

chandni-raat ke wade bhi wafa hote hain
ai gham-e-dil ye sabab laeq-e-matam to nahin

tishna-kaami mujhe majbur to karti hai magar
tere saghar se jhijakta hun kahin hum to nahin

tu ne aasudagi-e-shauq se khaya hai fareb
qalb-e-shair mein jo dhaDkan hai wo maddham to nahin

aaj 'masud' ki palkon pe diye hain raushan
sathiyo un ke sitaron se magar kam to nahin

(671) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hind Ki Ye Shab-e-mahtab written by Masud Husain Khan at UrduPoint. Hind Ki Ye Shab-e-mahtab is one of the masterpieces written by Masud Husain Khan. You can also find the complete poetry collection of Masud Husain Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Masud Husain Khan' above.

Hind Ki Ye Shab-e-mahtab is a widely read Urdu Nazam. If you like Hind Ki Ye Shab-e-mahtab, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.