Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain, Urdu Ghazal By Mauj Fatehgarhi

Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mauj Fatehgarhi. Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نقش دور ماضی کے ذہن میں ابھرتے ہیں

موج فتح گڑھی

نقش دور ماضی کے ذہن میں ابھرتے ہیں

بھولی بسری راہوں سے جب کبھی گزرتے ہیں

انگ انگ ہنستا ہے زاویے نکھرتے ہیں

جب وہ مسکراتے ہیں جب وہ بات کرتے ہیں

ہم انہیں پہ جان و دل بھی نثار کرتے ہیں

اپنا حال دل جن سے عرض کرتے ڈرتے ہیں

اس قدر نہ ہوتا زاں عارضی بلندی پر

اڑنے والے طائر کے بال و پر کترتے ہیں

نشۂ جوانی میں اڑتے ہیں ہواؤں پر

آسمان سے نیچے کب وہ پاؤں دھرتے ہیں

مہر و مہ کی گردش میں ڈھونڈھتے ہیں قسمت کو

اپنی اپنی کرتی پر کم نگاہ کرتے ہیں

جور و جبر کا ان کا سلسلہ نہیں ٹوٹا

گو وفاؤں کے ہم نے سب اصول برتے ہیں

کچھ سکون دیتی ہیں بدلیاں امیدوں کی

یاس و حزن کے طوفاں سر سے جب گزرتے ہیں

موجؔ بحر الفت میں لازمی ہیں غواصی

غرق ہونے والے ہی پار بھی اترتے ہیں

موج فتح گڑھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain

Mauj Fatehgarhi

naqsh daur-e-mazi ke zehn mein ubharte hain
bhuli-bisri rahon se jab kabhi guzarte hain

ang ang hansta hai zawiye nikharte hain
jab wo muskuraate hain jab wo baat karte hain

hum unhin pe jaan-o-dil bhi nisar karte hain
apna haal-e-dil jin se arz karte Darte hain

is qadar na hota zan aarzi bulandi par
uDne wale tair ke baal-o-par katarte hain

nashsha-e-jawani mein uDte hain hawaon par
aasman se niche kab wo panw dharte hain

mehr-o-mah ki gardish mein DhunDhte hain qismat ko
apni apni karti par kam nigah karte hain

jaur-o-jabr ka un ka silsila nahin TuTa
go wafaon ke hum ne sab usul barte hain

kuchh sukun deti hain badliyan umidon ki
yas-o-huzn ke tufan sar se jab guzarte hain

'mauj' bahr-e-ulfat mein lazmi hain ghawwasi
gharq hone wale hi par bhi utarte hain

(504) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain written by Mauj Fatehgarhi at UrduPoint. Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain is one of the masterpieces written by Mauj Fatehgarhi. You can also find the complete poetry collection of Mauj Fatehgarhi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mauj Fatehgarhi' above.

Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.