Rishta Gunge Safar Ka, Urdu Nazam By Mazhar Imam

Rishta Gunge Safar Ka is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mazhar Imam. Rishta Gunge Safar Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Rishta Gunge Safar Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رشتہ گونگے سفر کا

مظہر امام

یہ کس جنم میں

ہم

دوبارہ ملے ہیں

یہ خط

رنگ

قد

سب مجھے جانتے ہیں

مرے لمس سے آشنا ہیں

میں بھٹکا ہوں

کتنے سرابوں میں صحراؤں میں

کئی کارواں مجھ سے آگے گئے

ان کے نقش کف پا ابھی مشتعل ہیں

ابھی دھول نے ان پہ چادر بچھائی نہیں ہے

مجھ سے پیچھے

نئے کاروانوں کی گرد اڑا رہی ہے

کچھ جیالے جواں

تازہ دم تیز رو

اور میں

وقت کی رہ گزر کا وہ تنہا مسافر

جو ہر قافلے سے الگ

رہ رووں سے الگ

اجنبی سمت

یوں چل رہا ہے

کہ اس کے سوا کوئی صورت نہیں ہے

تحیر سے پیدا مسرت کے آنسو لیے

اس طرح ہم ملے جیسے پہلے کبھی مل چکے تھے

کون سے کارواں سے بھٹکتی ہوئی

تم دوبارہ ادھر آ گئی ہو

تمہیں کون سی منزل زندگی کی طلب ہے

تمہاری رگوں میں بھی

میری رگوں کی طرح

کتنی صدیوں کا خوں

کتنی نسلوں کا خوں

موجزن ہے

اور یہ ساری نسلیں

شکستہ مگر اونچی دیوار کی طرح استادہ ہیں

یوں ہی کب تلک فون پر بات کرتے رہیں گے

یوں ہی فاصلہ جسم کا لمس کا

ایک رشتہ فقط صوت و آواز کا

یہ رشتہ بھی حصہ ہے گونگے سفر کا

جو کب ٹوٹ جائے

کسے یہ پتہ ہے

کاش یہ رشتۂ صوت و آواز ہی دائمی ہو

کہ گونگے سفر کے سبھی سلسلے عارضی ہیں

مظہر امام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rishta Gunge Safar Ka

Mazhar Imam

ye kis janam mein
hum
dobara mile hain
ye KHat
rang
qad
sab mujhe jaante hain
mere lams se aashna hain
main bhaTka hun
kitne sarabon mein sahraon mein
kai karwan mujh se aage gae
un ke naqsh-e-kaf-e-pa abhi mushtail hain
abhi dhul ne un pe chadar bichai nahin hai
mujh se pichhe
nae karwanon ki gard uDa rahi hai
kuchh jiyale jawan
taza-dam tez-rau
aur main
waqt ki rahguzar ka wo tanha musafir
jo har qafile se alag
rah-rawon se alag
ajnabi samt
yun chal raha hai
ki us ke siwa koi surat nahin hai
tahayyur se paida masarrat ke aansu liye
is tarah hum mile jaise pahle kabhi mil chuke the
kaun se karwan se bhaTakti hui
tum dobara idhar aa gai ho
tumhein kaun si manzil-e-zindagi ki talab hai

tumhaari ragon mein bhi
meri ragon ki tarah
kitni sadiyon ka KHun
kitni naslon ka KHun
maujzan hai
aur ye sari naslen
shikasta magar unchi diwar ki tarah istada hain
yunhi kab talak phone par baat karte rahenge
yunhi fasla jism ka lams ka
ek rishta faqat saut-o-awaz ka
ye rishta bhi hissa hai gunge safar ka
jo kab TuT jae
kise ye pata hai
kash ye rishta-e-saut-o-awaz hi daimi ho
ki gunge safar ke sabhi silsile aarzi hain

(572) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rishta Gunge Safar Ka written by Mazhar Imam at UrduPoint. Rishta Gunge Safar Ka is one of the masterpieces written by Mazhar Imam. You can also find the complete poetry collection of Mazhar Imam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mazhar Imam' above.

Rishta Gunge Safar Ka is a widely read Urdu Nazam. If you like Rishta Gunge Safar Ka, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.