Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main, Urdu Ghazal By Meer Mehdi Majrooh

Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Mehdi Majrooh. Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بس کہ اک جنس رائیگاں ہوں میں

میر مہدی مجروح

بس کہ اک جنس رائیگاں ہوں میں

جتنا ارزاں بکوں گراں ہوں میں

نہ یہاں اور نہ اب وہاں ہوں میں

کیا بتاؤں تمہیں جہاں ہوں میں

یاد میں ہے کسی کی استغراق

کون پہنچے وہاں جہاں ہوں میں

مدد اے نغمہ‌ سنجیٔ بلبل

کب سے گم کردہ آشیاں ہوں میں

ڈھب ہے یہ یار تک پہنچنے کا

کاش قاصد ہی کا بیاں ہوں میں

نے کی مانند خشک ہیں اعضا

کیوں نہ سر تا بہ پا فغاں ہوں میں

لطف پایا ہے خاکساری میں

ہوں زمیں گو کہ آسماں ہوں میں

کس نے جلوہ دکھا دیا ہے آج

زمزمہ سنج الاماں ہوں میں

تا کجا تیز گامیاں بس کر

توسن شوق ہم عناں ہوں میں

گرد دیتی ہے کارواں کا پتا

یادگار گزشتگاں ہوں میں

جان کیوں کر نثار مقدم ہو

اب وہ آئے کہ نیم جاں ہوں میں

کیا نہیں یاد برق کا گرنا

پھر بناتا جو آشیاں ہوں میں

یہ سفر دیکھیے کہاں ہو تمام

مثل ریگ رواں رواں ہوں میں

کوئی اس عہد میں نہیں ہے شفیق

آپ اپنے پہ مہرباں ہوں میں

دیکھ پچھتائے گا نہ لے کے مجھے

مایۂ نازش دکاں ہوں میں

عشق میں سو بلائیں لیں سر پر

اپنے حق میں خود آسماں ہوں میں

قدر کیوں خوان دہر پر ہو مری

سچ ہے نا خواندہ مہماں ہوں میں

اول شب ہی ہجر میں ان کے

ڈھونڈھتا خنجر و سناں ہوں میں

نہ ٹلا اس کے در سے اے مجروحؔ

دوسرا سنگ آستاں ہوں میں

میر مہدی مجروح

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main

Meer Mehdi Majrooh

bas-ki ek jins-e-raegan hun main
jitna arzan bikun giran hun main

na yahan aur na ab wahan hun main
kya bataun tumhein jahan hun main

yaad mein hai kisi ki istighraq
kaun pahunche wahan jahan hun main

madad ai naghma-sanji-e-bulbul
kab se gum-karda aashiyan hun main

Dhab hai ye yar tak pahunchne ka
kash qasid hi ka bayan hun main

nai ki manind KHushk hain aaza
kyun na sar-ta-ba-pa fughan hun main

lutf paya hai KHaksari mein
hun zamin go ki aasman hun main

kis ne jalwa dikha diya hai aaj
zamzama-sanj-e-al-aman hun main

ta-kuja tez-gamiyan bas kar
tausan-e-shauq ham-inan hun main

gard deti hai karwan ka pata
yaadgar-e-guzishtagan hun main

jaan kyunkar nisar-e-maqdam ho
ab wo aae ki nim-jaan hun main

kya nahin yaad barq ka girna
phir banata jo aashiyan hun main

ye safar dekhiye kahan ho tamam
misl-e-reg-e-rawan rawan hun main

koi is ahd mein nahin hai shafiq
aap apne pe mehrban hun main

dekh pachhtaega na le ke mujhe
maya-e-nazish-e-dukan hun main

ishq mein sau balaen lin sar par
apne haq mein KHud aasman hun main

qadr kyun KHwan-e-dahr par ho meri
sach hai na-KHwanda mehman hun main

awwal-e-shab hi hijr mein un ke
DhunDhta KHanjar-o-sinan hun main

na Tala us ke dar se ai 'majruh'
dusra sang-e-astan hun main

(440) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main written by Meer Mehdi Majrooh at UrduPoint. Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main is one of the masterpieces written by Meer Mehdi Majrooh. You can also find the complete poetry collection of Meer Mehdi Majrooh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Mehdi Majrooh' above.

Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.