Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum, Urdu Ghazal By Meer Mohammadi Bedar

Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Mohammadi Bedar. Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شبنم تو باغ میں ہے نہ یوں چشم تر کہ ہم

میر محمدی بیدار

شبنم تو باغ میں ہے نہ یوں چشم تر کہ ہم

غنچہ بھی اس قدر ہے نہ خونی جگر کہ ہم

جوں آفتاب اس مہ بے مہر کے لیے

ایسے پھرے نہ کوئی پھرا در بدر کہ ہم

کہتا ہے نالہ آہ سے دیکھیں تو کون جلد

اس شوخ سنگ دل میں کرے تو ہے گھر کہ ہم

ہے ہر در سخن پہ سزا وار گوش یار

موتی صدف رکھے ہے پر ایسے گہر کہ ہم

منہ پر سے شب نقاب اٹھا یار نے کہا

روشن جمال دیکھ تو اب ہے قمر کہ ہم

زر کیا ہے مال تجھ پہ کریں نقد جاں نثار

اتنا تو اور کون ہے اے سیم بر کہ ہم

تا زیست ہم بتوں کے رہے ساتھ مثل زلف

یوں عمر کس نے کی ہے جہاں میں بسر کہ ہم

غصہ ہو کس پہ آئے ہو جو تیوری چڑھا

لائق عتاب کے نہیں کوئی مگر کہ ہم

بیدارؔ شرط ہے نہ پلک سے پلک لگے

دیکھیں تو رات جا کے ہے یا تو سحر کہ ہم

میر محمدی بیدار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum

Meer Mohammadi Bedar

shabnam to bagh mein hai na yun chashm-e-tar ki hum
ghuncha bhi is qadar hai na KHuni jigar ki hum

jun aaftab us mah-e-be-mahr ke liye
aise phire na koi phira dar-ba-dar ki hum

kahta hai nala aah se dekhen to kaun jald
us shoKH sang-dil mein kare tu hai ghar ki hum

hai har dur-e-suKHan pe saza-war gosh-e-yar
moti sadaf rakhe hai par aise guhar ki hum

munh par se shab naqab uTha yar ne kaha
raushan-jamal dekh tu ab hai qamar ki hum

zar kya hai mal tujh pe karen naqd-e-jaan nisar
itna to aur kaun hai ai sim-bar ki hum

ta-zist hum buton ke rahe sath misl-e-zulf
yun umr kis ne ki hai jahan mein basar ki hum

ghussa ho kis pe aae ho jo tewari chaDha
laeq itab ke nahin koi magar ki hum

'bedar' shart hai na palak se palak lage
dekhen to raat ja ke hai ya tu sahar ki hum

(550) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum written by Meer Mohammadi Bedar at UrduPoint. Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum is one of the masterpieces written by Meer Mohammadi Bedar. You can also find the complete poetry collection of Meer Mohammadi Bedar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Mohammadi Bedar' above.

Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.