Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai, Urdu Ghazal By Meer Muzaffar Husain Zameer

Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Muzaffar Husain Zameer. Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صدمے سے شب ہجر کے کب جان بر آئی

میر مظفر حسین ضمیر

صدمے سے شب ہجر کے کب جان بر آئی

یہ شام نہیں آئی قضا ہی مگر آئی

دیکھا مرا بستر جو کل اس شوخ نے خالی

ہر چند کیا ضبط مگر آنکھ بھر آئی

کرتا ہے کئی دن سے مرے قتل کی تدبیر

صد شکر کہ اس بت کی طبیعت ادھر آئی

آتے ہی ترے آ گئی اک جان سی تن میں

اے نگہت گیسوئے معنبر کدھر آئی

تصویر خیالی کی تری کیا کہوں شوخی

گہہ چھپ گئی نظروں سے تو گاہے نظر آئی

گلشن میں خزاں آئی تو بلبل یہ پکاری

اب فصل بہاری گل داغ جگر آئی

تربت پہ چڑھانے کو ترے سوختگاں کے

لے کے پر پروانہ نسیم سحر آئی

ہر تار نہانی ہی کو سمجھا میں رگ گل

یاد اس گل نازک کی جو مجھ کو مگر آئی

پوچھو تو ضمیرؔ جگر افگار کہاں ہے

جس دن سے گیا وہ نہ پھر اس کی خبر آئی

میر مظفر حسین ضمیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai

Meer Muzaffar Husain Zameer

sadme se shab-e-hijr ke kab jaan bar aai
ye sham nahin aai qaza hi magar aai

dekha mera bistar jo kal us shoKH ne KHali
har chand kiya zabt magar aankh bhar aai

karta hai kai din se mere qatl ki tadbir
sad-shukr ki us but ki tabiat idhar aai

aate hi tere aa gai ek jaan si tan mein
ai nighat-e-gesu-e-moambar kidhar aai

taswir-e-KHyali ki teri kya kahun shoKHi
gah chhup gai nazron se to gahe nazar aai

gulshan mein KHizan aai to bulbul ye pukari
ab fasl-e-bahaari gul-e-dagh-e-jigar aai

turbat pe chaDhane ko tere soKHtagan ke
le ke par-e-parwana nasim-e-sahar aai

har tar-e-nihani hi ko samjha main rag-e-gul
yaad us gul-e-nazuk ki jo mujh ko magar aai

puchho to ‘zamir’-e-jigar-afgar kahan hai
jis din se gaya wo na phir us ki KHabar aai

(409) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai written by Meer Muzaffar Husain Zameer at UrduPoint. Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai is one of the masterpieces written by Meer Muzaffar Husain Zameer. You can also find the complete poetry collection of Meer Muzaffar Husain Zameer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Muzaffar Husain Zameer' above.

Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sadme Se Shab-e-hijr Ke Kab Jaan Bar Aai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.