Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath, Urdu Ghazal By Meer Naqi Ali Khan Saqib

Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Naqi Ali Khan Saqib. Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جدا ہے درد کا مفہوم لفظ خواب کے ساتھ

میر نقی علی خاں ثاقب

جدا ہے درد کا مفہوم لفظ خواب کے ساتھ

شعور ذات نکھرتا ہے انقلاب کے ساتھ

نظر اٹھا کے تو دیکھو افق کے چہرے پر

مری غزل کا تقدس ہے آفتاب کے ساتھ

ازل سے دشت و بیاباں میں گھومتی ہے حیات

کبھی نقاب سے ہٹ کر کبھی نقاب کے ساتھ

شفق ہے یا تری آنکھوں کی موج بے خوابی

جو گھل رہی ہے ہر اک قطرۂ شراب کے ساتھ

گزار دی ہیں کئی انتظار کی شامیں

کچھ اضطراب کی خاطر کچھ اضطراب کے ساتھ

مرے وجود کی تنہائیوں کے زینے سے

اتر رہا ہے سنبھل کر کوئی حجاب کے ساتھ

روایتوں کے دواوین دیکھنے والو

نئے مزاج کا چہرہ پڑھو کتاب کے ساتھ

میر نقی علی خاں ثاقب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath

Meer Naqi Ali Khan Saqib

juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath
shuur-e-zat nikharta hai inqalab ke sath

nazar uTha ke to dekho ufuq ke chehre par
meri ghazal ka taqaddus hai aaftab ke sath

azal se dasht-o-bayaban mein ghumti hai hayat
kabhi naqab se haT kar kabhi naqab ke sath

shafaq hai ya teri aankhon ki mauj-e-be-KHwabi
jo ghul rahi hai har ek qatra-e-sharab ke sath

guzar di hain kai intizar ki shamen
kuchh iztirab ki KHatir kuchh iztirab ke sath

mere wajud ki tanhaiyon ke zine se
utar raha hai sambhal kar koi hijab ke sath

riwayaton ke dawawin dekhne walo
nae mizaj ka chehra paDho kitab ke sath

(540) ووٹ وصول ہوئے

You can read Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath written by Meer Naqi Ali Khan Saqib at UrduPoint. Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath is one of the masterpieces written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. You can also find the complete poetry collection of Meer Naqi Ali Khan Saqib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Naqi Ali Khan Saqib' above.

Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.