Mera Safar Qadam Qadam, Urdu Nazam By Meer Yaseen Ali Khan

Mera Safar Qadam Qadam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Meer Yaseen Ali Khan. Mera Safar Qadam Qadam comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mera Safar Qadam Qadam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرا سفر قدم قدم

میر یٰسین علی خاں

نکلا ہوں خود کو ڈھونڈنے اس کا مگر ہے مجھ کو غم

راہ جنوں دراز ہے میرا سفر قدم قدم

مجھ کو خبر نہیں کہ یاں کتنے لٹے ہیں کارواں

کتنی گری ہیں بجلیاں کتنے جلے ہیں آشیاں

چاک ہے پردۂ وجود پھر بھی کوئی مرا نہیں

کون ہے جس کے واسطے حکم سزا جزا نہیں

عالم آب و خاک میں میرا ظہور بھی حجاب

حشر میں سب کے سامنے میرا عمل ہے بے نقاب

میری تمام زندگی معرکہ ہائے خیر و شر

میری نگاہ عرش پر میں کف خاک و خود نگر

میرے لیے ہیں دو جہاں میں ہوں خدا کے واسطے

میرا وجود آئنہ اہل صفا کے واسطے

جس میں کہ خوب و زشت کا مد و جزر ہے صاف صاف

منظر دوزخ و بہشت پیش نظر ہے صاف صاف

راہ بد و راہ نجات ہیں میرے اختیار میں

غم ہیں مگر یہ راستے رنگ برنگ غبار میں

حرص و ہوا کی ڈھیر پر اپنے قدم جما کے رکھ

تیغ زمانہ تیز ہے سر کو بچا بچا کے رکھ

کار گہہ حیات میں رکھ لے خود اپنی آبرو

تیرا مقام بندگی کام ہے تیرا آرزو

خود دل و جگر سے کر جذب دروں کی پرورش

کرتے رہیں ضمیر کو عشق کے نغمے مرتعش

سن لے مرے ندیمؔ سن اقبالؔ کے تھا درد لب

عشق تمام مصطفیٰ عقل تمام بو لہب

حاصل عشق مصطفیٰ ان سے نظام کائنات

ان کے بغیر شرع و دین بت کدۂ تصورات

اپنی خودی کی اوٹ سے جلوۂ بے حجاب دیکھ

قلب و نظر کو پاک رکھ یار کو بے نقاب دیکھ

میر یٰسین علی خاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Safar Qadam Qadam

Meer Yaseen Ali Khan

nikla hun KHud ko DhunDne is ka magar hai mujh ko gham
rah-e-junun daraaz hai mera safar qadam qadam
mujh ko KHabar nahin ki yan kitne luTe hain karwan
kitni giri hain bijliyan kitne jale hain aashiyan
chaak hai parda-e-wajud phir bhi koi mera nahin
kaun hai jis ke waste hukm-e-saza jaza nahin
aalam-e-ab-o-KHak mein mera zuhur bhi hijab
hashr mein sab ke samne mera amal hai be-naqab
meri tamam zindagi marka-hae-KHair-o-shar
meri nigah-e-arsh par main kaf-e-KHak-o-KHud-nigar
mere liye hain do jahan main hun KHuda ke waste
mera wajud aaina ahl-e-safa ke waste
jis mein ki KHub-o-zisht ka madd-o-jazar hai saf saf
manzar-e-dozaKH-o-bahisht pesh-e-nazar hai saf saf
rah-e-bad-o-rah-e-najat hain mere iKHtiyar mein
gham hain magar ye raste rang-ba-rang ghubar mein
hirs-o-hawa ki Dher par apne qadam jama ke rakh
tegh-e-zamana tez hai sar ko bacha bacha ke rakh
kar-e-gah-e-hayat mein rakh le KHud apni aabru
tera maqam-e-bandagi kaam hai tera aarzu
KHud dil-o-jigar se kar jazb-e-darun ki parwarish
karte rahen zamir ko ishq ke naghme murtaish
sun le mere 'nadim' sun 'iqbaal' ke tha dard-e-lab
ishq-e-tamam-e-mustafa aql-e-tamam bu-lahab
hasil-e-ishq-e-mustafa un se nizam-e-kaenat
un ke baghair shara-o-din but-kada-e-tasawwuraat
apni KHudi ki oT se jalwa-e-be-hijab dekh
qalb-o-nazar ko pak rakh yar ko be-naqab dekh

(613) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Safar Qadam Qadam written by Meer Yaseen Ali Khan at UrduPoint. Mera Safar Qadam Qadam is one of the masterpieces written by Meer Yaseen Ali Khan. You can also find the complete poetry collection of Meer Yaseen Ali Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Yaseen Ali Khan' above.

Mera Safar Qadam Qadam is a widely read Urdu Nazam. If you like Mera Safar Qadam Qadam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.