Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah, Urdu Ghazal By Mehdi Pratapgarhi

Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mehdi Pratapgarhi. Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی چمن میں ٹھہرتے نہیں صبا کی طرح

مہدی پرتاپ گڑھی

کسی چمن میں ٹھہرتے نہیں صبا کی طرح

کھلا کے پھول گزرتے ہیں ہم ہوا کی طرح

ہمارے عہد میں کچھ ایسے بھی ہیں فرزانے

خدا نہیں ہیں مگر رہتے ہیں خدا کی طرح

وہ اپنے خول سے نکلے تو منہ چھپا لے بدی

وہ ایک شخص جو رہتا ہے دیوتا کی طرح

ہزار شمر جفاؤں پہ ہیں کمر بستہ

یہ دور ہم پہ مسلط ہے کربلا کی طرح

بہت دنوں سے ہے خود اپنی جستجو مجھ کو

بکھر گیا ہوں فضا میں کسی صدا کی طرح

مجھے خود اپنے تحفظ کی فکر کیا ہوتی

وہ مجھ سے ملتا رہا درد آشنا کی طرح

مہک اٹھا مرے سارے وجود کا صحرا

جو دشت ذہن سے گزرے ہو تم صبا کی طرح

ہر ایک چہرے پہ ہے عکس اجنبیت کا

کوئی تو مجھ کو نظر آئے آشنا کی طرح

نکھر اٹھے مرا صحرائے زیست بھی مہدیؔ

کبھی ادھر جو برس جائے وہ گھٹا کی طرح

مہدی پرتاپ گڑھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah

Mehdi Pratapgarhi

kisi chaman mein Thaharte nahin saba ki tarah
khila ke phul guzarte hain hum hawa ki tarah

hamare ahd mein kuchh aise bhi hain farzane
KHuda nahin hain magar rahte hain KHuda ki tarah

wo apne KHol se nikle to munh chhupa le badi
wo ek shaKHs jo rahta hai dewta ki tarah

hazar shimr jafaon pe hain kamar-basta
ye daur hum pe musallat hai karbala ki tarah

bahut dinon se hai KHud apni justuju mujh ko
bikhar gaya hun faza mein kisi sada ki tarah

mujhe KHud apne tahaffuz ki fikr kya hoti
wo mujh se milta raha dard-ashna ki tarah

mahak uTha mere sare wajud ka sahra
jo dasht-e-zehn se guzre ho tum saba ki tarah

har ek chehre pe hai aks ajnabiyyat ka
koi to mujh ko nazar aae aashna ki tarah

nikhar uThe mera sahra-e-zist bhi 'mehdi'
kabhi idhar jo baras jae wo ghaTa ki tarah

(538) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah written by Mehdi Pratapgarhi at UrduPoint. Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah is one of the masterpieces written by Mehdi Pratapgarhi. You can also find the complete poetry collection of Mehdi Pratapgarhi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mehdi Pratapgarhi' above.

Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Chaman Mein Thaharte Nahin Saba Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.