Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai, Urdu Ghazal By Mehr Zarreen

Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mehr Zarreen. Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مقام آدمی کچھ کم نہیں ہے

مہر زریں

مقام آدمی کچھ کم نہیں ہے

فرشتوں سے تو کم آدم نہیں ہے

ابھی دل جل رہا ہے آ بھی جاؤ

اجالا چاند سے مدھم نہیں ہے

ہماری ذات پر انگلی اٹھائے

زمانے میں ابھی وہ دم نہیں ہے

اڑاتا ہے ہوا میں کیوں دوانے

یہ دامن ہے کوئی پرچم نہیں ہے

تری مرضی ہے ساقی جس قدر دے

ہمیں تو فکر بیش و کم نہیں ہے

بتوں کی بندگی میں کون جانے

کہاں ہے خم کہاں سر خم نہیں ہے

انہیں گر ناز ہے اپنی پہنچ پر

تو میری بھی رسائی کم نہیں ہے

کوئی کیوں غم گسار مہرؔ ہوگا

زمانہ مونس و ہمدم نہیں ہے

مہر زریں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai

Mehr Zarreen

maqam-e-admi kuchh kam nahin hai
farishton se to kam aadam nahin hai

abhi dil jal raha hai aa bhi jao
ujala chand se maddham nahin hai

hamari zat par ungli uThae
zamane mein abhi wo dam nahin hai

uData hai hawa mein kyon diwane
ye daman hai koi parcham nahin hai

teri marzi hai saqi jis qadar de
hamein to fikr-e-besh-o-kam nahin hai

buton ki bandagi mein kaun jaane
kahan hai KHam kahan sar KHam nahin hai

unhen gar naz hai apni pahunch par
to meri bhi rasai kam nahin hai

koi kyon gham-gusar 'mehr' hoga
zamana monis-o-hamdam nahin hai

(582) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai written by Mehr Zarreen at UrduPoint. Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai is one of the masterpieces written by Mehr Zarreen. You can also find the complete poetry collection of Mehr Zarreen by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mehr Zarreen' above.

Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maqam-e-admi Kuchh Kam Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.