Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai, Urdu Ghazal By Mehshar Afridi

Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mehshar Afridi. Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرض کے واسطے اتنی دوا زیادہ ہے

محشر آفریدی

مرض کے واسطے اتنی دوا زیادہ ہے

مرے سوال سے تیری عطا زیادہ ہے

تمہاری صبح میں ایک رنگ ہے ندامت کا

مجھے بھی رات سے خوف خدا زیادہ ہے

مری وفاؤں کی اجرت تمہاری جان میں ہے

مرے حساب سے یہ خوں بہا زیادہ ہے

شراب عشق ہے دونوں کے جام میں لیکن

مری شراب میں خون وفا زیادہ ہے

نہ جانے ڈھل گیا کیسے میں تیرے سانچے میں

مرے مزاج میں ویسے انا زیادہ ہے

یہ شہرتیں نئے دشمن بہت بناتی ہیں

سنبھل کے رہنا تمہاری ہوا زیادہ ہے

محشر آفریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai

Mehshar Afridi

maraz ke waste itni dawa ziyaada hai
mere sawal se teri ata ziyaada hai

tumhaari subh mein ek rang hai nadamat ka
mujhe bhi raat se KHauf-e-KHuda ziyaada hai

meri wafaon ki ujrat tumhaari jaan mein hai
mere hisab se ye KHun-baha ziyaada hai

sharab-e-ishq hai donon ke jam mein lekin
meri sharab mein KHun-e-wafa ziyaada hai

na jaane Dhal gaya kaise main tere sanche mein
mere mizaj mein waise ana ziyaada hai

ye shohraten nae dushman bahut banati hain
sambhal ke rahna tumhaari hawa ziyaada hai

(1143) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai written by Mehshar Afridi at UrduPoint. Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai is one of the masterpieces written by Mehshar Afridi. You can also find the complete poetry collection of Mehshar Afridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mehshar Afridi' above.

Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.