KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Akram Jazib

KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Akram Jazib. KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کانٹوں کی معیت میں بڑی دیر رہا ہے

محمد اکرم جاذب

کانٹوں کی معیت میں بڑی دیر رہا ہے

جس شخص کی باتوں میں گلابوں کا اثر ہے

منزل ابھی آگے ہے کہ چھوڑ آیا ہوں پیچھے

مدت سے سفر میں ہوں مجھے اتنی خبر ہے

شہرت کی طلب ہے کہ ہے اظہار کا چسکا

یہ کسب ستائش ہے کہ پھر کسب ہنر ہے

تو بالا ہے رتبے میں سو میں مان رہا ہوں

حالانکہ تری بات کا پاؤں ہے نہ سر ہے

اے یار بتا کچھ تو محبت کی حقیقت

مکڑی کا یہ جالا ہے کہ پھر دام نظر ہے

اخلاص ہی باعث تھا تعلق کا ہمارے

لیکن وہ مرے ہمدم دیرینہ کدھر ہے

میں یار سمجھتا ہوں زمانہ تجھے ہمراز

تو ایک زمانے سے ادھر ہے نہ ادھر ہے

کس موڑ پہ لے آئی ہے اب تیری محبت

جب تیرے بچھڑنے میں نفع ہے نہ ضرر ہے

جاذبؔ نہیں کھلتے ہیں بگولوں میں سمن تو

اور تو کہ تمنائی اعجاز نظر ہے

محمد اکرم جاذب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai

Mohammad Akram Jazib

kanTon ki mayyat mein baDi der raha hai
jis shaKHs ki baaton mein gulabon ka asar hai

manzil abhi aage hai ki chhoD aaya hun pichhe
muddat se safar mein hun mujhe itni KHabar hai

shohrat ki talab hai ki hai izhaar ka chaska
ye kasb-e-sataish hai ki phir kasb-e-hunar hai

tu baala hai rutbe mein so main man raha hun
haalanki teri baat ka panw hai na sar hai

ai yar bata kuchh to mohabbat ki haqiqat
makDi ka ye jala hai ki phir dam-e-nazar hai
iKHlas hi bais tha talluq ka hamare
lekin wo mere hamdam-e-derina kidhar hai

main yar samajhta hun zamana tujhe ham-raaz
tu ek zamane se idhar hai na udhar hai

kis moD pe le aai hai ab teri mohabbat
jab tere bichhaDne mein nafa hai na zarar hai

'jazib' nahin khilte hain bagulon mein saman to
aur tu ki tamannai-e-eajaz-e-nazar hai

(527) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai written by Mohammad Akram Jazib at UrduPoint. KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Akram Jazib. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Akram Jazib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Akram Jazib' above.

KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KanTon Ki Mayyat Mein BaDi Der Raha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.