Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Jauhar

Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Jauhar. Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عرش تک جو بے خطا جاتا ہے یہ وہ تیر ہے

محمد علی جوہرؔ

عرش تک جو بے خطا جاتا ہے یہ وہ تیر ہے

غیر سمجھا ہے کہ میری آہ بے تاثیر ہے

خوگر قید وفا پر کھل چکا زنداں کا راز

جرم تھی وہ قید یہ اس جرم کی تعزیر ہے

بے گناہی سے بھی بڑھ کر ہے اگر کوئی گناہ

تو سزائے عشق پا کر خجلت تقصیر ہے

چھوڑ میری فکر غافل رو خود اپنی قید پر

جس کو تو زیور سمجھتا ہے وہی زنجیر ہے

سجن و جنت دونوں اے کافر ہیں اس دنیا کے نام

وہ ازل سے بخت مومن یہ تری تقدیر ہے

دار ہی بنتی ہے اے دل زینۂ معراج عشق

خواب آغاز محبت کی یہی تعبیر ہے

ہو نہ الجھن جب جنون جامہ ور کامل نہ ہو

جب تلک دامن ہے خار دشت دامن گیر ہے

ہاتھ تو ہوں گے قلم پر نامہ بر یہ بھی کہا

دل چرا لیتی ہے پہلو سے یہ وہ تحریر ہے

پائیداری میں ہے قصروں سے سوا کچی سی قبر

جو قیامت تک رہے قائم یہ وہ تعمیر ہے

خون ناحق کا کسی کے شبہ اور تم پر مگر

سینۂ جوہرؔ میں دیکھو تو یہ کس کا تیر ہے

محمد علی جوہرؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai

Mohammad Ali Jauhar

arsh tak jo be-KHata jata hai ye wo tir hai
ghair samjha hai ki meri aah be-tasir hai

KHugar-e-qaid-e-wafa par khul chuka zindan ka raaz
jurm thi wo qaid ye us jurm ki tazir hai

be-gunahi se bhi baDh kar hai agar koi gunah
to saza-e-ishq pa kar KHajlat-e-taqsir hai

chhoD meri fikr ghafil ro KHud apni qaid par
jis ko tu zewar samajhta hai wahi zanjir hai

sijn o jannat donon ai kafir hain is duniya ke nam
wo azal se baKHt-e-momin ye teri taqdir hai

dar hi banti hai ai dil zina-e-meraj-e-ishq
KHwab-e-aghaz-e-mohabbat ki yahi tabir hai

ho na uljhan jab junun-e-jama-war kaamil na ho
jab talak daman hai KHar-e-dasht daman-gir hai

hath to honge qalam par nama-bar ye bhi kaha
dil chura leti hai pahlu se ye wo tahrir hai

paedari mein hai qasron se siwa kachchi si qabr
jo qayamat tak rahe qaim ye wo tamir hai

KHun-e-nahaq ka kisi ke shubah aur tum par magar
sina-e-'jauhar' mein dekho to ye kis ka tir hai

(1046) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai written by Mohammad Ali Jauhar at UrduPoint. Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Jauhar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Jauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Jauhar' above.

Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.