Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Jauhar

Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Jauhar. Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور حیات آئے گا قاتل قضا کے بعد

محمد علی جوہرؔ

دور حیات آئے گا قاتل قضا کے بعد

ہے ابتدا ہماری تری انتہا کے بعد

جینا وہ کیا کہ دل میں نہ ہو تیری آرزو

باقی ہے موت ہی دل بے مدعا کے بعد

تجھ سے مقابلے کی کسے تاب ہے ولے

میرا لہو بھی خوب ہے تیری حنا کے بعد

اک شہر آرزو پہ بھی ہونا پڑا خجل

ھل من مزید کہتی ہے رحمت دعا کے بعد

لذت ہنوز مائدۂ عشق میں نہیں

آتا ہے لطف جرم تمنا سزا کے بعد

قتل حسین اصل میں مرگ یزید ہے

اسلام زندہ ہوتا ہے ہر کربلا کے بعد

غیروں پہ لطف ہم سے الگ حیف ہے اگر

یہ بے حجابیاں بھی ہوں عذر حیا کے بعد

ممکن ہے نالہ جبر سے رک بھی سکے اگر

ہم پر تو ہے وفا کا تقاضا جفا کے بعد

ہے کس کے بل پہ حضرت جوہرؔ یہ روکشی

ڈھونڈیں گے آپ کس کا سہارا خدا کے بعد

محمد علی جوہرؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad

Mohammad Ali Jauhar

daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad
hai ibtida hamari teri intiha ke baad

jina wo kya ki dil mein na ho teri aarzu
baqi hai maut hi dil-e-be-muddaa ke baad

tujh se muqable ki kise tab hai wale
mera lahu bhi KHub hai teri hina ke baad

ek shahr-e-arzu pe bhi hona paDa KHajil
hal-mimmazid kahti hai rahmat dua ke baad

lazzat hanuz maida-e-ishq mein nahin
aata hai lutf-e-jurm-e-tamanna saza ke baad

qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islam zinda hota hai har karbala ke baad

ghairon pe lutf hum se alag haif hai agar
ye be-hijabiyan bhi hon uzr-e-haya ke baad

mumkin hai nala jabr se ruk bhi sake agar
hum par to hai wafa ka taqaza jafa ke baad

hai kis ke bal pe hazrat-e-'jauhar' ye ru-kashi
DhunDenge aap kis ka sahaara KHuda ke baad

(991) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad written by Mohammad Ali Jauhar at UrduPoint. Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Jauhar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Jauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Jauhar' above.

Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.