Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Jauhar

Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Jauhar. Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گلہ اے دل ابھی سے کرتا ہے

محمد علی جوہرؔ

گلہ اے دل ابھی سے کرتا ہے

عشق کا دم اسی پہ بھرتا ہے

جان دیتا ہے عیش فانی پر

بس اسی زندگی پہ مرتا ہے

راحت جاوداں کو بھول گیا

کوئی دنیا میں یہ بھی کرتا ہے

عشق بن کر جئے تو خاک جیے

زندہ وہ ہے جو ان پہ مرتا ہے

نام پر اس کے سب جو دے بیٹھا

وہی اک ہے جو نام کرتا ہے

وقف مومن ہے آزمائش عشق

اس میں پورا وہی اترتا ہے

جس کو دنیا نے نامراد کیا

وہی ناکام کام کرتا ہے

ہے مسلماں کی بس یہی پہچان

کہ فقط اک خدا سے ڈرتا ہے

قول مومن ہے اس کے فعل کی شرح

وہ جو کہتا ہے کر گزرتا ہے

مطمئن رہ دلا وہ جان جہاں

وعدہ کر کے کہیں مکرتا ہے

میرے رنگ کفن کی شوخی دیکھ

یوں ہی عاشق ترا سنورتا ہے

آج کر لو جو کر سکو کل تک

کون جیتا ہے کون مرتا ہے

قلزم عشق میں گرا سو گرا

اس کا ڈوبا کہیں ابھرتا ہے

اس قدر احتیاط اے صیاد

کہ قفس میں بھی پر کترتا ہے

وہی دن ہے ہماری عید کا دن

جو تری یاد میں گزرتا ہے

مئے اسلام کا بھلا جوہرؔ

نشہ چڑھ کر کہیں اترتا ہے

محمد علی جوہرؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai

Mohammad Ali Jauhar

gila ai dil abhi se karta hai
ishq ka dam usi pe bharta hai

jaan deta hai aish-e-fani par
bas isi zindagi pe marta hai

rahat-e-jawedan ko bhul gaya
koi duniya mein ye bhi karta hai

ishq ban kar jiye to KHak jiye
zinda wo hai jo un pe marta hai

nam par us ke sab jo de baiTha
wahi ek hai jo nam karta hai

waqf momin hai aazmaish-e-ishq
is mein pura wahi utarta hai

jis ko duniya ne na-murad kiya
wahi nakaam kaam karta hai

hai musalman ki bas yahi pahchan
ki faqat ek KHuda se Darta hai

qaul-e-momin hai us ke fel ki sharh
wo jo kahta hai kar guzarta hai

mutmain rah dila wo jaan-e-jahan
wada kar ke kahin mukarta hai

mere rang-e-kafan ki shoKHi dekh
yun hi aashiq tera sanwarta hai

aaj kar lo jo kar sako kal tak
kaun jita hai kaun marta hai

qulzum-e-ishq mein gira so gira
us ka Duba kahin ubharta hai

is qadar ehtiyat ai sayyaad
ki qafas mein bhi par katarta hai

wahi din hai hamari id ka din
jo teri yaad mein guzarta hai

mai-e-islam ka bhala 'jauhar'
nashsha chaDh kar kahin utarta hai

(775) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai written by Mohammad Ali Jauhar at UrduPoint. Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Jauhar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Jauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Jauhar' above.

Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.