KHala Aur KHuda, Urdu Nazam By Mohammad Haneef Rame

KHala Aur KHuda is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Haneef Rame. KHala Aur KHuda comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read KHala Aur KHuda on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خلا اور خدا

محمد حنیف رامے

تیری راہ دیکھتے دیکھتے

آنکھوں نے دیکھنا ہی چھوڑ دیا ہے

افسردگی ہڈیوں کے گودے میں ٹیسیں مار رہی ہے

گوشت پوست خور زدہ زمین کی طرح بربادی کا نقشہ پیش کر رہا ہے

لہو شریانوں میں جم کر رہ گیا ہے

نہ آنے والے تو کب تک نہ آئے گا

کائناتوں کے خالق کن آفاق میں کھو گیا ہے تو

کون سے آسمان بھا گئے ہیں تجھے

کون سے خلا کھا گئے ہیں تجھے

خلا ہی پسند ہیں تو میرے دل میں آ

کہ تو نے اس سے بڑا بلیک ہول تو ابھی تک پیدا نہیں کیا

آ اے خدا آ

آ میرے دل کے خلا میں آ

تو اگر ہر جگہ ہے تو میرا دل کیوں خالی ہے

دل کے اتھاہ پاتال میں ڈھونڈھتا ہوں اور تجھے پاتا نہیں

سوچتا ہوں کہیں خلا ہی خدا نہ ہو

شاید انتظار ہی اس کی موجودگی ہو

شاید عدم ہی اس کا وجود ہو

اور نفی اس کا اثبات

پھر یہ سوچ پلٹا کھاتی اور دل کے خلا میں اتر جاتی ہے

اور ایک آوارہ آواز کی طرح گونجتی ہے

گونجتی ہے گونجتی ہے گونجے ہی چلی جاتی ہے

اور آہستہ آہستہ ایک لفظ میں ڈھل جاتی ہے

خدا

اور آخر میں ایک سر رہ جاتا ہے

آ

دور کہیں کسی نے درباری کا الاپ چھیڑا ہے

آ

میری پتھرائی ہوئی آنکھیں نم ہو جاتی ہیں

دل خون ہو کر

آنکھوں سے ٹپک پڑتا ہے

اور دل کے خلا میں گونجتی ہوئی آواز پکار اٹھتی ہے

میں نے تو پہلے ہی کہا تھا

یہی خدا ہے

محمد حنیف رامے

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHala Aur KHuda

Mohammad Haneef Rame

teri rah dekhte dekhte
aankhon ne dekhna hi chhoD diya hai
afsurdagi haDDiyon ke gude mein Tisen mar rahi hai
gosht-post thor-zada zamin ki tarah barbaadi ka naqsha pesh kar raha hai
lahu shiryanon mein jam kar rah gaya hai

na aane wale tu kab tak na aaega
kaenaton ke KHaliq kin aafaq mein kho gaya hai tu
kaun se aasman bha gae hain tujhe
kaun se KHala kha gae hain tujhe
KHala hi pasand hain to mere dil mein aa
ki tu ne is se baDa black-hole to abhi tak paida nahin kiya
aa ai KHuda aa
aa mere dil ke KHala mein aa
tu agar har jagah hai to mera dil kyun KHali hai
dil ke athah patal mein DhunDhta hun aur tujhe pata nahin
sochta hun kahin KHala hi KHuda na ho
shayad intizar hi us ki maujudgi ho
shayad adam hi us ka wajud ho
aur nafi us ka isbaat
phir ye soch palTa khati aur dil ke KHala mein utar jati hai
aur ek aawara aawaz ki tarah gunjti hai
gunjti hai gunjti hai gunje hi chali jati hai
aur aahista aahista ek lafz mein Dhal jati hai
KHuda
aur aaKHir mein ek sur rah jata hai
aa
dur kahin kisi ne darbari ka alap chheDa hai
aa

meri pathrai hui aankhen nam ho jati hain
dil KHun ho kar
aankhon se Tapak paDta hai
aur dil ke KHala mein gunjti hui aawaz pukar uThti hai
main ne to pahle hi kaha tha
yahi KHuda hai

(617) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHala Aur KHuda written by Mohammad Haneef Rame at UrduPoint. KHala Aur KHuda is one of the masterpieces written by Mohammad Haneef Rame. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Haneef Rame by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Haneef Rame' above.

KHala Aur KHuda is a widely read Urdu Nazam. If you like KHala Aur KHuda, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.