Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Haneef

Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Haneef. Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا ارادہ ہے مرے یار کہاں جاتا ہے

محمد حنیف

کیا ارادہ ہے مرے یار کہاں جاتا ہے

تیز اتنی ہے جو رفتار کہاں جاتا ہے

تیری منزل تو کسی اور طرف ہے اور تو

اے مرے قافلہ سالار کہاں جاتا ہے

آ ذرا دیر کہیں بیٹھ کے باتیں کر لیں

چھوڑ بازار کو بازار کہاں جاتا ہے

پھرتا رہتا ہے مضافات میں تیرے دن رات

دور اب تیرا گرفتار کہاں جاتا ہے

تیرے چہرے کی چمک بول رہی ہے خود ہی

اس قدر ہو کے یہ تیار کہاں جاتا ہے

پہلے ممکن تھا مگر اب یہ نہیں ہے ممکن

اب مرے دل کا یہ آزار کہاں جاتا ہے

میں چھپاؤں بھی تو یہ بات کہاں چھپتی ہے

سب کو معلوم ہے بیمار کہاں جاتا ہے

کار دنیا بھی نہیں ہے یہ فقیری بھی نہیں

بے نیاز کم و بسیار کہاں جاتا ہے

یہ ترے چلنے کا انداز نہیں ہے بالکل

تیرا جانا ہے پر اسرار کہاں جاتا ہے

اس کی تقدیر میں لکھا ہے جہاں ہے وہیں ہو

کسی جانب کوئی کہسار کہاں جاتا ہے

ہے تجھے دھوپ میں جلنے کا بہت شوق حنیفؔ

چھوڑ کر سایۂ دیوار کہاں جاتا ہے

محمد حنیف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai

Mohammad Haneef

kya irada hai mere yar kahan jata hai
tez itni hai jo raftar kahan jata hai

teri manzil to kisi aur taraf hai aur tu
ai mere qafila-salar kahan jata hai

aa zara der kahin baiTh ke baaten kar len
chhoD bazar ko bazar kahan jata hai

phirta rahta hai mazafat mein tere din-raat
dur ab tera giraftar kahan jata hai

tere chehre ki chamak bol rahi hai KHud hi
is qadar ho ke ye tayyar kahan jata hai

pahle mumkin tha magar ab ye nahin hai mumkin
ab mere dil ka ye aazar kahan jata hai

main chhupaun bhi to ye baat kahan chhupti hai
sab ko malum hai bimar kahan jata hai

kar-e-duniya bhi nahin hai ye faqiri bhi nahin
be-niyaz-e-kam-o-bisyar kahan jata hai

ye tere chalne ka andaz nahin hai bilkul
tera jaana hai pur-asrar kahan jata hai

us ki taqdir mein likkha hai jahan hai wahin ho
kisi jaanib koi kohsar kahan jata hai

hai tujhe dhup mein jalne ka bahut shauq 'hanif'
chhoD kar saya-e-diwar kahan jata hai

(753) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai written by Mohammad Haneef at UrduPoint. Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Haneef. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Haneef by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Haneef' above.

Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Irada Hai Mere Yar Kahan Jata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.