Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Ibrahim Noori

Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ibrahim Noori. Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس کی خاطر سجائی محفل ہے

محمد ابراہیم نوری

جس کی خاطر سجائی محفل ہے

کیوں رسائی اسی کی مشکل ہے

زندگی کیا ہے میں بتاتا ہوں

ایک مجموعۂ مسائل ہے

اس کو بھی تو سزا ملے کوئی

جو مری خواہشوں کا قاتل ہے

پہلے وہ مجھ پہ جاں چھڑکتا تھا

اب مرے دشمنوں میں شامل ہے

دست قاتل بھلا نہ کیوں لرزیں

تیر کا رخ جو سوئے بسمل ہے

رہتی دنیا تلک یہ کرب و بلا

حق و باطل میں حد فاصل ہے

ہونے والا ہے کچھ برا شاید

آج کل مضطرب مرا دل ہے

باپ بولا ادا کروں کیسے

اس قدر پانی گیس کا بل ہے

وہ فصیل انا گرانی ہے

جو ہمارے میان حائل ہے

ایک دن غم تو ایک روز خوشی

بس یہی زندگی کا حاصل ہے

آج کے دور میں جسے دیکھو

مقصد زندگی سے غافل ہے

کیسے کھاتے ہو شوق سے نوریؔ

خالی فلفل سے یہ فلافل ہے

محمد ابراہیم نوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai

Mohammad Ibrahim Noori

jis ki KHatir sajai mahfil hai
kyon rasai usi ki mushkil hai

zindagi kya hai main batata hun
ek majmua-e-masail hai

us ko bhi to saza mile koi
jo meri KHwahishon ka qatil hai

pahle wo mujh pe jaan chhiDakta tha
ab mere dushmanon mein shamil hai

dast-e-qatil bhala na kyon larzen
tir ka ruKH jo su-e-bismil hai

rahti duniya talak ye karb-o-bala
haqq-o-baatil mein hadd-e-fasil hai

hone wala hai kuchh bura shayad
aaj-kal muztarib mera dil hai

bap bola ada karun kaise
is qadar pani gas ka bil hai

wo fasil-e-ana girani hai
jo hamare miyan hail hai

ek din gham to ek roz KHushi
bas yahi zindagi ka hasil hai

aaj ke daur mein jise dekho
maqsad-e-zindagi se ghafil hai

kaise khate ho shauq se 'nuri'
KHali filfil se ye falafil hai

(860) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai written by Mohammad Ibrahim Noori at UrduPoint. Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Ibrahim Noori. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ibrahim Noori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ibrahim Noori' above.

Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ki KHatir Sajai Mahfil Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.