Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta, Urdu Ghazal By Mohammad Ibrahim Noori

Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ibrahim Noori. Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو زندگی میں کبھی جستجو نہیں کرتا

محمد ابراہیم نوری

جو زندگی میں کبھی جستجو نہیں کرتا

مرا خدا بھی اسے سرخ رو نہیں کرتا

یہ میرا دل تو دھڑکتا ہے ظاہراً لیکن

کسی بھی شے کی یہ دل آرزو نہیں کرتا

کسی کے قرب نے مجھ کو بنا دیا شاعر

وگرنہ شاعری میں تو کبھو نہیں کرتا

کسی نے دیکھ لیا تو کہے گا دیوانہ

جو اپنا چاک گریباں رفو نہیں کرتا

جو جیسا ہے اسے ویسا ہی یہ دکھاتا ہے

یہ آئنہ تو کبھی بھی غلو نہیں کرتا

میں ایسے شخص کی آنکھوں کو پاک سمجھوں گا

نظر جو سوئے زن خوب رو نہیں کرتا

فقیر ہوں ترے در کا تجھے صدا دی ہے

اے جان جاں میں صدا کو بہ کو نہیں کرتا

وہ جس نے بیچ کے زیور تجھے پڑھایا تھا

عجب ہے فون تک اس ماں کو تو نہیں کرتا

ہمارا عشق ابھی حال احتضار میں ہے

تو پھر اسے کوئی کیوں قبلہ رو نہیں کرتا

مہک رہی ہیں فضائیں گلوں کی خوشبو سے

چمن میں رہ کے تو احساس بو نہیں کرتا

زمین شعر ہو بنجر تو اس زمیں پہ کبھی

درخت شعر و سخن کا نمو نہیں کرتا

کتاب عشق کو چھونے کے واسطے نوریؔ

وضو ضروری ہے تو کیوں وضو نہیں کرتا

محمد ابراہیم نوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta

Mohammad Ibrahim Noori

jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta
mera KHuda bhi use suraKH-ru nahin karta

ye mera dil to dhaDakta hai zahiran lekin
kisi bhi shai ki ye dil aarzu nahin karta

kisi ke qurb ne mujh ko bana diya shair
wagarna shairi main to kabhu nahin karta

kisi ne dekh liya to kahega diwana
jo apna chaak-e-gareban rafu nahin karta

jo jaisa hai use waisa hi ye dikhata hai
ye aaina to kabhi bhi ghulu nahin karta

main aise shaKHs ki aankhon ko pak samjhunga
nazar jo su-e-zan-e-KHub-ru nahin karta

faqir hun tere dar ka tujhe sada di hai
ai jaan-e-jaan main sada ku-ba-ku nahin karta

wo jis ne beach ke zewar tujhe paDhaya tha
ajab hai phone tak us man ko tu nahin karta

hamara ishq abhi haal-e-ehtizar mein hai
to phir use koi kyon qibla-ru nahin karta

mahak rahi hain fazaen gulon ki KHushbu se
chaman mein rah ke tu ehsas-e-bu nahin karta

zamin-e-sher ho banjar to us zamin pe kabhi
daraKHt sher-o-suKHan ka numu nahin karta

kitab-e-ishq ko chhune ke waste 'nuri'
wuzu zaruri hai to kyon wuzu nahin karta

(624) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta written by Mohammad Ibrahim Noori at UrduPoint. Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta is one of the masterpieces written by Mohammad Ibrahim Noori. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ibrahim Noori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ibrahim Noori' above.

Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Zindagi Mein Kabhi Justuju Nahin Karta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.