Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne, Urdu Ghazal By Mohammad Ibrahim Noori

Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ibrahim Noori. Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا ہے کام یہ لیل و نہار آنکھوں نے

محمد ابراہیم نوری

کیا ہے کام یہ لیل و نہار آنکھوں نے

دکھایا جلوۂ پروردگار آنکھوں نے

کبھی دکھایا ہے پژمردہ باغ فصل خزاں

کبھی دکھائی ہے فصل بہار آنکھوں نے

میں اپنے دل پہ یہ الزام دھر نہیں سکتا

تباہ مجھ کو کیا سرمہ دار آنکھوں نے

حدیث دل جو چھپانے کی لاکھ کوشش کی

مگر کیا ہے اسے آشکار آنکھوں نے

ہوئی تھی ماں کی زیارت بھی بعد برسوں کے

بہائے اشک بھی بے اختیار آنکھوں نے

تمہاری راہ کو تک کر اے یوسف دوراں

کیا ہے صبح و مسا انتظار آنکھوں نے

دکھا کے خواب زلیخائے درہم و دینار

کیا ہے دل کو سدا بے قرار آنکھوں نے

تمہاری ایک ہی تصویر ہے جو پاس مرے

اسی کو پیار کیا بار بار آنکھوں نے

یہ اشک اس لیے بہتے ہیں میری آنکھوں سے

کیا ہے خواہش دیدار یار آنکھوں نے

تم ان گناہوں سے توبہ کرو گے کب نوریؔ

کیے گناہ ہیں جو بے شمار آنکھوں نے

محمد ابراہیم نوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne

Mohammad Ibrahim Noori

kiya hai kaam ye lail-o-nahaar aankhon ne
dikhaya jalwa-e-parwardigar aankhon ne

kabhi dikhaya hai pazhmurda bagh fasl-e-KHizan
kabhi dikhai hai fasl-e-bahaar aankhon ne

main apne dil pe ye ilzam dhar nahin sakta
tabah mujh ko kiya surma-dar aankhon ne

hadis-e-dil jo chhupane ki lakh koshish ki
magar kiya hai use aashkar aankhon ne

hui thi man ki ziyarat bhi baad barson ke
bahae ashk bhi be-iKHtiyar aankhon ne

tumhaari rah ko tak kar ai yusuf-e-dauran
kiya hai subh-o-masa intizar aankhon ne

dikha ke KHwab-e-zuleKHa-e-dirham-o-dinar
kiya hai dil ko sada be-qarar aankhon ne

tumhaari ek hi taswir hai jo pas mere
usi ko pyar kiya bar bar aankhon ne

ye ashk is liye bahte hain meri aankhon se
kiya hai KHwahish-e-didar-e-yar aankhon ne

tum in gunahon se tauba karoge kab 'nuri'
kiye gunah hain jo be-shumar aankhon ne

(567) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne written by Mohammad Ibrahim Noori at UrduPoint. Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne is one of the masterpieces written by Mohammad Ibrahim Noori. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ibrahim Noori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ibrahim Noori' above.

Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kiya Hai Kaam Ye Lail-o-nahaar Aankhon Ne, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.