Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain, Urdu Ghazal By Mohammad Ibrahim Noori

Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ibrahim Noori. Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری بستی میں جتنی لڑکیاں ہیں

محمد ابراہیم نوری

مری بستی میں جتنی لڑکیاں ہیں

خدا کا شکر پردے والیاں ہیں

میں انساں ہوں فرشتہ تو نہیں ہوں

سو مجھ میں بھی یقیناً خامیاں ہیں

تمہارے بن مری حالت ہے ایسی

بنا پانی کے جیسی کشتیاں ہیں

چلیں سوچیں ذرا اس مسئلے پر

ہمارے درمیاں کیوں دوریاں ہیں

میں خود کو کیوں بھلا سمجھوں گا تنہا

مری ہمدم مری تنہائیاں ہیں

کبھی لوگوں کے چہرے بھی پڑھا کر

رقم چہروں پہ بھی سچائیاں ہیں

ہمارے اپنے بھی ہیں اجنبی سے

ہماری جب سے خالی جھولیاں ہیں

ہمارے دیس میں معیار عزت

نہیں انسانیت بس کرسیاں ہیں

مری والے بھی آتے ہیں یہاں پر

کہ بلتستاں میں ایسی وادیاں ہیں

خیانت مت کرو خاک وطن سے

کہ تیرے تن پہ خاکی وردیاں ہیں

چھپی ہے ان میں ظالم کی تباہی

لب مظلوم پر جو سسکیاں ہیں

اسے کہتے ہیں پھولوں سے محبت

ہمیشہ گلستاں میں تتلیاں ہیں

نہ گھورو راہ چلتی لڑکیوں کو

تمہارے گھر میں بھی تو بیٹیاں ہیں

وہ جن کو دیکھ کر رب یاد آئے

جہاں میں ایسی بھی کچھ ہستیاں ہیں

اٹھا لائے تو ہو تم سیپیوں کو

مزین موتیوں سے سیپیاں ہیں

نہ گھبرانا اے نوریؔ مشکلوں سے

کہ مشکل میں چھپی آسانیاں ہیں

محمد ابراہیم نوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain

Mohammad Ibrahim Noori

meri basti mein jitni laDkiyan hain
KHuda ka shukr parde waliyan hain

main insan hun farishta to nahin hun
so mujh mein bhi yaqinan KHamiyan hain

tumhaare bin meri haalat hai aisi
bina pani ke jaisi kashtiyan hain

chalen sochen zara is masale par
hamare darmiyan kyon duriyan hain

main KHud ko kyon bhala samjhunga tanha
meri hamdam meri tanhaiyan hain

kabhi logon ke chehre bhi paDha kar
raqam chehron pe bhi sachchaiyan hain

hamare apne bhi hain ajnabi se
hamari jab se KHali jholiyan hain

hamare des mein mear-e-izzat
nahin insaniyat bas kursiyan hain

mari wale bhi aate hain yahan par
ki baltistan mein aisi wadiyan hain

KHayanat mat karo KHak-e-watan se
ki tere tan pe KHaki wardiyan hain

chhapi hai in mein zalim ki tabahi
lab-e-mazlum par jo siskiyan hain

ise kahte hain phulon se mohabbat
hamesha gulsitan mein titliyan hain

na ghuro rah chalti laDkiyon ko
tumhaare ghar mein bhi to beTiyan hain

wo jin ko dekh kar rab yaad aae
jahan mein aisi bhi kuchh hastiyan hain

uTha lae to ho tum sipiyon ko
muzayyan motiyon se sipiyan hain

na ghabrana ai 'nuri' mushkilon se
ki mushkil mein chhupi aasaniyan hain

(619) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain written by Mohammad Ibrahim Noori at UrduPoint. Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Ibrahim Noori. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ibrahim Noori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ibrahim Noori' above.

Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Basti Mein Jitni LaDkiyan Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.