Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka, Urdu Ghazal By Mohammad Khan Sajid

Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Khan Sajid. Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیکھ کر حوصلہ مرے دل کا

محمد خاں ساجد

دیکھ کر حوصلہ مرے دل کا

ہاتھ تھرا رہا ہے قاتل کا

پاس آیا نہ وقت غرقابی

مجھ پہ احسان ہے یہ ساحل کا

کیا کہیں حشر کارواں کیا ہو

راہبر کا پتہ نہ منزل کا

خود ہی دیتے ہیں زخم اور خود ہی

پوچھتے ہیں مزاج بسمل کا

آ گئی رت بہار کی شاید

ہر طرف شور ہے سلاسل کا

کھنچ کے آنے پہ وہ ہوئے مجبور

معجزہ ہے یہ جذب کامل کا

ہم زباں ہو کے بھی خموش رہے

پاس رکھنا تھا رنگ محفل کا

پردۂ شعر میں ندیمؔ اکثر

ہم سناتے ہیں ماجرا دل کا

محمد خاں ساجد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka

Mohammad Khan Sajid

dekh kar hausla mere dil ka
hath tharra raha hai qatil ka

pas aaya na waqt-e-gharqabi
mujh pe ehsan hai ye sahil ka

kya kahen hashr-e-karwan kya ho
rahbar ka pata na manzil ka

KHud hi dete hain zaKHm aur KHud hi
puchhte hain mizaj bismil ka

aa gai rut bahaar ki shayad
har taraf shor hai salasil ka

khinch ke aane pe wo hue majbur
moajiza hai ye jazb-e-kaamil ka

ham-zaban ho ke bhi KHamosh rahe
pas rakhna tha rang-e-mahfil ka

parda-e-sher mein 'nadim' aksar
hum sunate hain majra dil ka

(608) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka written by Mohammad Khan Sajid at UrduPoint. Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka is one of the masterpieces written by Mohammad Khan Sajid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Khan Sajid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Khan Sajid' above.

Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dekh Kar Hausla Mere Dil Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.