Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua, Urdu Ghazal By Mohammad Ovais

Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ovais. Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے تیر نظر کا یہ دل نشانا ہوا

محمد اویس

کسی کے تیر نظر کا یہ دل نشانا ہوا

لو ان کا اب تو خیالوں میں آنا جانا ہوا

یہ کون جوڑ رہا ہے اٹھا کے ہر ٹکڑا

کے میرے دل کو تو ٹوٹے ہوئے زمانا ہوا

کہ وقت نزاع نکلتی ہے روح جس طرح

وہ میرے جسم سے اس طرح سے روانا ہوا

وہ اس قدر مری آنکھوں کو دے گیا پانی

کہ سرد راتوں میں رخسار کو نہانا ہوا

جو اس میں آیا تھا وہ کیا دہکتا سورج تھا

سلگ کے خاک مرے دل کا آشیانا ہوا

ستارے توڑ کے میں اس کی مانگ بھرتا تھا

یہ آرزوؤں کا موسم بہت پرانا ہوا

یہ لگ رہا ہے خیالوں سے پھر وہ گزرے ہیں

ہماری آنکھ میں جب آنسوؤں کا آنا ہوا

اٹھایا اس نے تبھی جب اسے ضرورت تھی

گرایا اس نے نگاہوں سے جب گرانا ہوا

خود اپنے پیروں پے قاتل کے در پے آتا ہوں

لہو میں اپنے ہمیں جب کبھی نہانا ہوا

کہ قتل ہو گیا مقتول ساتھ قاتل کے

یہ وار اس کا مگر مجھ پہ عادلانہ ہوا

اویسؔ اب تو کچھ عادت سی ہو گئی ہے ہمیں

ہم ان کے پاس گئے جب بھی زخم کھانا ہوا

محمد اویس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua

Mohammad Ovais

kisi ke tir-e-nazar ka ye dil nishana hua
lo un ka ab to KHayalon mein aana-jaana hua

ye kaun joD raha hai uTha ke har TukDa
ke mere dil ko to TuTe hue zamana hua

ki waqt-e-nazaa nikalti hai ruh jis tarah
wo mere jism se is tarah se rawana hua

wo is qadar meri aankhon ko de gaya pani
ki sard raaton mein ruKHsar ko nahana hua

jo is mein aaya tha wo kya dahakta suraj tha
sulag ke KHak mere dil ka aashiyana hua

sitare toD ke main us ki mang bharta tha
ye aarzuon ka mausam bahut purana hua

ye lag raha hai KHayalon se phir wo guzre hain
hamari aankh mein jab aansuon ka aana hua

uThaya us ne tabhi jab use zarurat thi
giraya us ne nigahon se jab girana hua

KHud apne pairon pe qatil ke dar pe aata hun
lahu mein apne hamein jab kabhi nahana hua

ki qatl ho gaya maqtul sath qatil ke
ye war us ka magar mujh pe aadilana hua

'owais' ab to kuchh aadat si ho gai hai hamein
hum un ke pas gae jab bhi zaKHm khana hua

(750) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua written by Mohammad Ovais at UrduPoint. Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua is one of the masterpieces written by Mohammad Ovais. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ovais by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ovais' above.

Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Tir-e-nazar Ka Ye Dil Nishana Hua, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.