Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana, Urdu Ghazal By Mohammad Sadiq Zia

Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Sadiq Zia. Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یاد ہے آہ کا وہ رنگ نوا ہو جانا

محمد صادق ضیا

یاد ہے آہ کا وہ رنگ نوا ہو جانا

یوں فضاؤں میں سمٹنا کہ گھٹا ہو جانا

اس قدر کیف کہ مدہوش‌ فضا ہو جانا

دیکھنا ساز کو اور نغمہ سرا ہو جانا

حسن کی فطرت معصوم تھی پابند حجاب

عشق سے سیکھ لیا جلوہ نما ہو جانا

رسم آداب و محبت کا وہ پابند کہاں

جس کی تقدیر میں ہو نذر وفا ہو جانا

حسن اک عشق کی سوئی ہوئی کیفیت ہے

عشق ہے حسن کا بیدار وفا ہو جانا

نئی زنجیر ہے دنیا کا ہر اک ہنگامہ

اصل میں قید ہے زنداں سے رہا ہو جانا

مست پندار سہی ساز خودی کیوں چھیڑوں

بے خودی کو مری آتا ہے خدا ہو جانا

یاد ہے مجھ کو وہ گہوارۂ ظلمت کی فضا

اتنا تاریکی میں پھر تاکہ ضیاؔ ہو جانا

محمد صادق ضیا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana

Mohammad Sadiq Zia

yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana
yun fazaon mein simaTna ki ghaTa ho jaana

is qadar kaif ki madhosh-e-faza ho jaana
dekhna saz ko aur naghma-sara ho jaana

husn ki fitrat-e-masum thi paband-e-hijab
ishq se sikh liya jalwa-numa ho jaana

rasm-e-adab-o-mohabbat ka wo paband kahan
jis ki taqdir mein ho nazr-e-wafa ho jaana

husn ek ishq ki soi hui kaifiyyat hai
ishq hai husn ka bedar-e-wafa ho jaana

nai zanjir hai duniya ka har ek hangama
asl mein qaid hai zindan se riha ho jaana

mast-e-pindar sahi saz-e-KHudi kyun chheDun
be-KHudi ko meri aata hai KHuda ho jaana

yaad hai mujh ko wo gahwara-e-zulmat ki faza
itna tariki mein phir taki 'ziya' ho jaana

(428) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana written by Mohammad Sadiq Zia at UrduPoint. Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana is one of the masterpieces written by Mohammad Sadiq Zia. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Sadiq Zia by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Sadiq Zia' above.

Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.