Diwali Ki Sham, Urdu Nazam By Mohammad Siddiq Muslim

Diwali Ki Sham is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Siddiq Muslim. Diwali Ki Sham comes under the Love, Social category of Urdu Nazam. You can read Diwali Ki Sham on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیوالی کی شام

محمد صدیق مسلم

چھپ گیا خورشید تاباں آئی دیوالی کی شام

ہر طرف جشن چراغاں کا ہے کیسا اہتمام

ڈیوڑھیوں پر شادیانے عیش کے بجنے لگے

اور رنگیں قمقموں سے بام و در سجنے لگے

عطر و عنبر سے ہوا ہے کس قدر مہکی ہوئی

خوش نما مہتابیوں سے ہے فضا دہکی ہوئی

پھلجھڑی سے پھول یوں جھڑتے ہیں جیسے کہکشاں

ہر طرف پھیلا فضا میں ہے پٹاخوں کا دھواں

کیا مزے کی آتش افشانی ہے اگنی بان کی

دیکھ کر عش عش کرے جس کو نظر انسان کی

ہیں ستاروں کی یہ لڑیاں یا چراغوں کی قطار

کوچہ و بازار کے دیوار و در ہیں نور بار

بڑھ رہا ہے صورت سیلاب لوگوں کا ہجوم

ہر دکاں پر گاہکوں کا شور و غل ہے بالعموم

روشنی بن کر خوشی ہر سمت ہے چھائی ہوئی

ایک خلقت جس کے جلووں کی تماشائی ہوئی

محمد صدیق مسلم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Diwali Ki Sham

Mohammad Siddiq Muslim

chhup gaya KHurshid-e-taban aai diwali ki sham
har taraf jashn-e-charaghan ka hai kaisa ehtimam
DewDhiyon par shadyane aish ke bajne lage
aur rangin qumqumon se baam-o-dar sajne lage
itr-o-ambar se hawa hai kis qadar mahki hui
KHushnuma mahtabiyon se hai faza dahki hui
phuljhaDi se phul yun jhaDte hain jaise kahkashan
har taraf phaila faza mein hai paTaKHon ka dhuan
kya maze ki aatish-afshani hai agni-ban ki
dekh kar ash-ash kare jis ko nazar insan ki
hain sitaron ki ye laDiyan ya charaghon ki qatar
kucha-o-bazar ke diwar-o-dar hain nur-bar
baDh raha hai surat-e-sailab logon ka hujum
har dukan par gahakon ka shor-o-ghul hai bil-umum
raushni ban kar KHushi har samt hai chhai hui
ek KHilqat jis ke jalwon ki tamashai hui

(557) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Diwali Ki Sham written by Mohammad Siddiq Muslim at UrduPoint. Diwali Ki Sham is one of the masterpieces written by Mohammad Siddiq Muslim. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Siddiq Muslim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Siddiq Muslim' above.

Diwali Ki Sham is a widely read Urdu Nazam. If you like Diwali Ki Sham, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.