Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi, Urdu Ghazal By Mohammad Tariq Ghazi

Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Tariq Ghazi. Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیوں دیر و حرم میں دانائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

محمد طارق غازی

کیوں دیر و حرم میں دانائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

کیوں کوچۂ دل میں رسوائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

کل صحن حرم میں کہتا تھا یہ پیر خرد فرزانوں سے

ذہنوں پر دل کی دارائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

ہے جسم سواریٔ دل کے لئے اور علم ہے زاد راہ طلب

اس راہ میں ہونا سودائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

دوزخ سے جھجک جنت کی طلب جذبات کے دو پیمانے ہیں

دو سمتوں میں رہ پیمائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

بوجہل نہیں فرعون نہیں نمرود نہیں لیکن پھر بھی

ایمان کی حرکت ایمائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

کچھ ہجر کی راتیں کاٹی ہیں کچھ درد کی دھوپ سمیٹی ہے

دنیا میں دکھ کی پذیرائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

بالائے نظر اور زیر نظر دو مصحف حق انسان کا حق

تشریح میں عقل کی خود رائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

اک دفتر سادہ سامنے ہے کچھ زیر نظر کچھ پیش نظر

اس میں کچھ خامہ فرسائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

جب علم بکے بازاروں میں اور عقل تلے اخباروں میں

تب انساں کی قدر افزائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

یہ کون ہے جو محفل محفل ہر سچ کو جھوٹ بناتا ہے

کس کے معنی کی یکجائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

میں تنہا بھی ہوں صحرا میں اور تیری یاد کا ساتھ بھی ہے

اس دشت میں یا رب تنہائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

سر کا سجدہ سبحان اللہ اور دل کا سجدہ روح کا راز

کونین میں یہ جبہہ سائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

وحدت کے تمنائی طارقؔ اس در پہ کبھی اس در پہ کبھی

در در ان کی جبہہ سائی آسان بھی ہے اور مشکل بھی

محمد طارق غازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi

Mohammad Tariq Ghazi

kyon dair-o-haram mein danai aasan bhi hai aur mushkil bhi
kyon kucha-e-dil mein ruswai aasan bhi hai aur mushkil bhi

kal sehn-e-haram mein kahta tha ye pir-e-KHirad farzanon se
zehnon par dil ki darai aasan bhi hai aur mushkil bhi

hai jism sawari-e-dil ke liye aur ilm hai zad-e-rah-e-talab
is rah mein hona saudai aasan bhi hai aur mushkil bhi

dozaKH se jhijak jannat ki talab jazbaat ke do paimane hain
do samton mein rah-paimai aasan bhi hai aur mushkil bhi

bu-jahl nahin firaun nahin namrud nahin lekin phir bhi
iman ki harakat-imai aasan bhi hai aur mushkil bhi

kuchh hijr ki raaten kaTi hain kuchh dard ki dhup sameTi hai
duniya mein dukh ki pazirai aasan bhi hai aur mushkil bhi

baala-e-nazar aur zer-e-nazar do mushaf-e-haq insan ka haq
tashrih mein aql ki KHud-rai aasan bhi hai aur mushkil bhi

ek daftar-e-sada samne hai kuchh zer-e-nazar kuchh pesh-e-nazar
is mein kuchh KHama-farsai aasan bhi hai aur mushkil bhi

jab ilm bike bazaron mein aur aql tule aKHbaron mein
tab insan ki qadr-afzai aasan bhi hai aur mushkil bhi

ye kaun hai jo mahfil mahfil har sach ko jhuT banata hai
kis ke mani ki yakjai aasan bhi hai aur mushkil bhi

main tanha bhi hun sahra mein aur teri yaad ka sath bhi hai
is dasht mein ya-rab tanhai aasan bhi hai aur mushkil bhi

sar ka sajda subhan-allah aur dil ka sajda ruh ka raaz
kaunain mein ye jabha-sai aasan bhi hai aur mushkil bhi

wahdat ke tamannai 'tariq' is dar pe kabhi us dar pe kabhi
dar dar un ki jabha-sai aasan bhi hai aur mushkil bhi

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi written by Mohammad Tariq Ghazi at UrduPoint. Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi is one of the masterpieces written by Mohammad Tariq Ghazi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Tariq Ghazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Tariq Ghazi' above.

Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kyon Dair-o-haram Mein Danai Aasan Bhi Hai Aur Mushkil Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.