Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha, Urdu Ghazal By Mohammad Usmaan Arif

Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Usmaan Arif. Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہجر کی بے تابیاں تھیں حسرتوں کا جوش تھا

محمد عثمان عارف

ہجر کی بے تابیاں تھیں حسرتوں کا جوش تھا

حسن کا آغوش پھر بھی حسن کا آغوش تھا

ہم تو جس محفل میں بیٹھے شغل ناؤ نوش تھا

زندگی میں موت بھی آئے گی کس کو ہوش تھا

ضبط کرتے کرتے آخر پھوٹ نکلی دل کی بات

ہنس پڑا گلشن میں جو بھی غنچۂ خاموش تھا

احترام حسن کہئے یا اسے رعب جمال

ان کا پردے سے نکلنا تھا کہ میں بے ہوش تھا

مجھ سے پوچھو سرگزشت مے کدہ بادہ کشو

تھا کبھی میرا بھی عالم میں بھی بادہ نوش تھا

لغزشیں میری مسلم ابتدائے عشق میں

آپ کو بھی کچھ خبر تھی آپ کو بھی ہوش تھا

عشق کا اعجاز تھا یہ عشق کی تاثیر بھی

دل سے جو نالہ نکلتا تھا سکون گوش تھا

کوئی کیا سمجھا مری دیوانگی کو کیا خبر

آپ کی نظروں میں تھا اتنا تو مجھ کو ہوش تھا

آج تسبیح و مصلیٰ لے کے عارفؔ بن گیا

کل جو روح مے کدہ تھا رند و بادہ نوش تھا

محمد عثمان عارف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha

Mohammad Usmaan Arif

hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha
husn ka aaghosh phir bhi husn ka aaghosh tha

hum to jis mahfil mein baiThe shaghl-e-naw-nosh tha
zindagi mein maut bhi aaegi kis ko hosh tha

zabt karte karte aaKHir phuT nikli dil ki baat
hans paDa gulshan mein jo bhi ghuncha-e-KHamosh tha

ehtiram-e-husn kahiye ya use rob-e-jamal
un ka parde se nikalna tha ki main behosh tha

mujh se puchho sarguzasht-e-mai-kada baada-kasho
tha kabhi mera bhi aalam main bhi baada-nosh tha

laghzishen meri musallam ibtida-e-ishq mein
aap ko bhi kuchh KHabar thi aap ko bhi hosh tha

ishq ka eajaz tha ye ishq ki tasir bhi
dil se jo nala nikalta tha sukun-e-gosh tha

koi kya samjha meri diwangi ko kya KHabar
aap ki nazron mein tha itna to mujh ko hosh tha

aaj tasbih-o-musallla le ke 'arif' ban gaya
kal jo ruh-e-mai-kada tha rind-o-baada-nosh tha

(552) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha written by Mohammad Usmaan Arif at UrduPoint. Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha is one of the masterpieces written by Mohammad Usmaan Arif. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Usmaan Arif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Usmaan Arif' above.

Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.