Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya, Urdu Ghazal By Mohammad Usmaan Arif

Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Usmaan Arif. Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصور میں یہ کون آیا زباں پر کس کا نام آیا

محمد عثمان عارف

تصور میں یہ کون آیا زباں پر کس کا نام آیا

نشاط روح کا ہر اک نفس لے کر پیام آیا

وفور بے خودی میں ایک ایسا بھی مقام آیا

نہ دنیا میرے کام آئی نہ میں دنیا کے کام آیا

عقیدت سے جبیں جھک جھک گئی راہ محبت میں

جہاں ان کا خیال آیا جہاں ان کا مقام آیا

زمانہ کو تو دنیا بھر کی خوشیاں بخش دیں تو نے

مرے حصہ میں آیا بھی تو سوز ناتمام آیا

رہا کچھ ہوش بھی باقی تو ان کے حسن زیبا کا

اگر آیا تو لب پر بے خودی میں ان کا نام آیا

غم دوراں غم دنیا غم ہستی غلط ٹھہرے

جہاں کی گردشیں ٹھہریں جہاں گردش میں جام آیا

نگاہوں پر جمال دوست پردہ بن کے چھاتا ہے

سنبھلنا دیکھنا عارفؔ بڑا مشکل مقام آیا

محمد عثمان عارف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya

Mohammad Usmaan Arif

tasawwur mein ye kaun aaya zaban par kis ka nam aaya
nashat-e-ruh ka har ek nafas le kar payam aaya

wafur-e-be-KHudi mein ek aisa bhi maqam aaya
na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya

aqidat se jabin jhuk jhuk gai rah-e-mohabbat mein
jahan un ka KHayal aaya jahan un ka maqam aaya

zamane ko to duniya-bhar ki KHushiyan baKHsh din tu ne
mere hisse mein aaya bhi to soz-e-na-tamam aaya

raha kuchh hosh bhi baqi to un ke husn-e-zeba ka
agar aaya to lab par be-KHudi mein un ka nam aaya

gham-e-dauran gham-e-duniya gham-e-hasti ghalat Thahre
jahan ki gardishen Thahrin jahan gardish mein jam aaya

nigahon par jamal-e-dost parda ban ke chhata hai
sambhalna dekhna 'arif' baDa mushkil maqam aaya

(548) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya written by Mohammad Usmaan Arif at UrduPoint. Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya is one of the masterpieces written by Mohammad Usmaan Arif. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Usmaan Arif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Usmaan Arif' above.

Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.