Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Wilayatullah

Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Wilayatullah. Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

باقی ہے تاب ضبط نہ طاقت فغاں کی ہے

محمد ولایت اللہ

باقی ہے تاب ضبط نہ طاقت فغاں کی ہے

حالت بہت سقیم دل ناتواں کی ہے

آنکھوں میں جوش ہے کبھی طوفان نوح کا

دل میں مرے تڑپ کبھی برق تپاں کی ہے

اے آہ نارسا ترے نالے ہیں بے اثر

بہتر یہی ہے بات رہے جو جہاں کی ہے

ہوتا ہے جوش گر یہ جو اب بات بات پر

دل میں مرے یہ چوٹ الٰہی کہاں کی ہے

اے دل تجھے نتیجۂ الفت ہے خوب یاد

اور پھر بھی آرزو تجھے کوئے بتاں کی ہے

جس کو سمجھ رہے ہیں وہ بادل کی اک گرج

فریاد دردناک کسی خستہ جاں کی ہے

بلبل ہے خوش کہ باغ میں ہے خاک آشیاں

یہ کون جانتا ہے کہ مٹی کہاں کی ہے

سونے دیا نہ شور قیامت نے قبر میں

سمجھا تھا میں کہ جائے یہ امن و اماں کی ہے

رنگ شفق سے شام کو ملتا ہے یہ پتا

اب آسماں پہ گرد مرے کارواں کی ہے

منصور کی فنا ہے بقائے صدائے حق

آواز وادیوں میں ابھی تک اذاں کی ہے

سمجھا رہا ہوں دل کو نہیں پھر بھی اعتماد

وہ بات کہہ رہا ہوں جو ان کی زباں کی ہے

ہے دل گداز یوں بھی مری داستان غم

تاثیر اس پہ کچھ مرے طرز بیاں کی ہے

حافظؔ یہ کائنات نہ ہو جائے جل کے خاک

بڑھتی ہوئی تپش مرے سوز نہاں کی ہے

محمد ولایت اللہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai

Mohammad Wilayatullah

baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
haalat bahut saqim dil-e-na-tawan ki hai

aankhon mein josh hai kabhi tufan nuh ka
dil mein mere taDap kabhi barq-e-tapan ki hai

ai aah-e-na-rasa tere nale hain be-asar
behtar yahi hai baat rahe jo jahan ki hai

hota hai josh gar ye jo ab baat baat par
dil mein mere ye choT ilahi kahan ki hai

ai dil tujhe natija-e-ulfat hai KHub yaad
aur phir bhi aarzu tujhe ku-e-butan ki hai

jis ko samajh rahe hain wo baadal ki ek garaj
fariyaad dardnak kisi KHasta-jaan ki hai

bulbul hai KHush ki bagh mein hai KHak aashiyan
ye kaun jaanta hai ki miTTi kahan ki hai

sone diya na shor-e-qayamat ne qabr mein
samjha tha main ki jae ye amn-o-aman ki hai

rang-e-shafaq se sham ko milta hai ye pata
ab aasman pe gard mere karwan ki hai

mansur ki fana hai baqa-e-sada-e-haq
aawaz wadiyon mein abhi tak azan ki hai

samjha raha hun dil ko nahin phir bhi e'timad
wo baat kah raha hun jo un ki zaban ki hai

hai dil-gudaz yun bhi meri dastan-e-gham
tasir us pe kuchh mere tarz-e-bayan ki hai

'hafiz' ye kaenat na ho jae jal ke KHak
baDhti hui tapish mere soz-e-nihan ki hai

(414) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai written by Mohammad Wilayatullah at UrduPoint. Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Wilayatullah. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Wilayatullah by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Wilayatullah' above.

Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.