Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حشر میں اور ہی آثار نظر آتے ہیں

محمد یوسف راسخ

حشر میں اور ہی آثار نظر آتے ہیں

میرے حامی شۂ ابرار نظر آتے ہیں

دل بیتاب کو یہ کہہ کے سنبھالا شب غم

ٹھہر اب صبح کے آثار نظر آتے ہیں

قلب مومن کی عجب شان ہے اللہ اللہ

سر جھکاتا ہوں تو انوار نظر آتے ہیں

شب اسریٰ نہ رہا ایک بھی پردہ حائل

صاف حق کے انہیں دیدار نظر آتے ہیں

دست قدرت نے بنائی ہے وہ صورت تیری

جس کے کونین خریدار نظر آتے ہیں

چھپ نہیں سکتے ہیں اس پردہ نشیں کے عاشق

ہم نے دیکھے ہیں سر دار نظر آتے ہیں

شافع حشر شفاعت پہ کمر بستہ ہے

آج ہر سمت گنہ گار نظر آتے ہیں

فیض ساقی سے ہے مے خانۂ ہستی آباد

آج مے خوار ہی مے خوار نظر آتے ہیں

اپنے باطن کو نہ دیکھا کبھی زاہد تو نے

ہم تو مے خوار ہیں مے خوار نظر آتے ہیں

ابر آتے ہیں جو فرقت میں تری اے ساقی

صورت دیدۂ خونبار نظر آتے ہیں

غنچۂ دل جو ترے ہجر میں افسردہ ہے

باغ میں پھول مجھے خار نظر آتے ہیں

مرض عشق کی حالت کوئی ہم سے پوچھے

وہ تو اچھے ہیں جو بیمار نظر آتے ہیں

ہاتھ خالی ہے مگر دل تو غنی ہے اپنا

چشم‌ مخلوق میں زردار نظر آتے ہیں

چھوٹ جائیں گے مصیبت سے اب انشا اللہ

ہجر میں موت کے آثار نظر آتے ہیں

ڈگمگاتے ہیں قدم راہ وفا میں میرے

مرحلے عشق کے دشوار نظر آتے ہیں

اس قدر محو رہے حرص و ہوا میں راسخؔ

اب تو صورت سے گنہ گار نظر آتے ہیں

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain

Mohammad Yusuf Rasikh

hashr mein aur hi aasar nazar aate hain
mere hami shah-e-abrar nazar aate hain

dil-e-betab ko ye kah ke sambhaala shab-e-gham
Thahar ab subh ke aasar nazar aate hain

qalb-e-momin ki ajab shan hai allah allah
sar jhukata hun to anwar nazar aate hain

shab-e-asra na raha ek bhi parda hail
saf haq ke unhen didar nazar aate hain

dast-e-qudrat ne banai hai wo surat teri
jis ke kaunain KHaridar nazar aate hain

chhup nahin sakte hain us parda nashin ke aashiq
hum ne dekhe hain sar-e-dar nazar aate hain

shafe-e-hashr shafaat pe kamar-basta hai
aaj har samt gunahgar nazar aate hain

faiz-e-saqi se hai mai-KHana-e-hasti aabaad
aaj mai-KHwar hi mai-KHwar nazar aate hain

apne baatin ko na dekha kabhi zahid tu ne
hum to mai-KHwar hain mai-KHwar nazar aate hain

abr aate hain jo furqat mein teri ai saqi
surat-e-dida-e-KHunbar nazar aate hain

ghuncha-e-dil jo tere hijr mein afsurda hai
bagh mein phul mujhe KHar nazar aate hain

maraz-e-ishq ki haalat koi hum se puchhe
wo to achchhe hain jo bimar nazar aate hain

hath KHali hai magar dil to ghani hai apna
chashm-e-maKHluq mein zardar nazar aate hain

chhuT jaenge musibat se ab insha-allah
hijr mein maut ke aasar nazar aate hain

Dagmagate hain qadam rah-e-wafa mein mere
marhale ishq ke dushwar nazar aate hain

is qadar mahw rahe hirs-o-hawa mein 'rasiKH'
ab to surat se gunahgar nazar aate hain

(656) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.