Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تارے کھلے ہوئے ہیں شب ماہتاب ہے

محمد یوسف راسخ

تارے کھلے ہوئے ہیں شب ماہتاب ہے

معشوق ہم پیالہ ہے بزم شراب ہے

یہ کیا ستم ہے وصل میں منہ پر نقاب ہے

قربان اس حیا کے یہ کیسا حجاب ہے

بیٹھے ہو میرے سامنے پہلو میں غیر کے

پھر مجھ سے پوچھتے ہو تمہیں کیوں عتاب ہے

یہ فیض ہے مرے عرق انفعال کا

نار جحیم میرے لئے آب آب ہے

تصویر غیر بھیج کے اس نے بلف خط

عنواں یہ لکھ دیا ترے خط کا جواب ہے

کیوں چھیڑتے ہیں مجھ کو نکیرین قبر میں

جو سو رہا ہو اس کو جگانا عذاب ہے

اس کے بھی مستحق نہیں اغیار نا بہ کار

گالی بھی آپ دیں تو وہ در خوشاب ہے

مجھ کو نہیں ہے شمع کی حاجت سر مزار

میرا ہر ایک داغ جگر آفتاب ہے

تم تو فروغ حسن میں بر خود غلط رہے

میں نے نہ کہہ دیا تھا یہ دھوکہ ہے خواب ہے

کعبہ جو اک بتوں کا پرانا مقام تھا

زاہد وہاں کے شوق میں پادر رکاب ہے

بھولے ہوئے ہو عہد جوانی پہ کس لئے

اس سے تو پائیدار زیادہ حباب ہے

رسوا مرے کئے سے نہ ہوگا وہ حشر میں

اس کا شریک یہ دل خانہ خراب ہے

پھندے میں پھنس گیا دل ناداں ہزار حیف

کس کو خبر تھی زلف تمہاری طناب ہے

کیوں تم نے میرے خط کے پرخچے اڑا دیئے

ناراض ہو تو مجھ سے ہو مجھ پر عتاب ہے

ہم کو نہیں ہے جس لب نازک سے فیض کچھ

ہو وہ جو خوش نمائی میں برگ گلاب ہے

مطرب نے راگ چھیڑا ہے آ کر شب فراق

کیا دل خراش نغمۂ چنگ و رباب ہے

راسخؔ ملا ہے اپنی ریاضت کا پھل مجھے

نخل سخن جو آج مرا باریاب ہے

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai

Mohammad Yusuf Rasikh

tare khile hue hain shab-e-mahtab hai
mashuq ham-piyala hai bazm-e-sharab hai

ye kya sitam hai wasl mein munh par naqab hai
qurban is haya ke ye kaisa hijab hai

baiThe ho mere samne pahlu mein ghair ke
phir mujh se puchhte ho tumhein kyun itab hai

ye faiz hai mere araq-e-infial ka
nar-e-jahim mere liye aab aab hai

taswir-e-ghair bhej ke us ne ba-laff-e-KHat
unwan ye likh diya tere KHat ka jawab hai

kyun chheDte hain mujh ko nakirain qabr mein
jo so raha ho us ko jagana azab hai

is ke bhi mustahiq nahin aghyar na-ba-kar
gali bhi aap den to wo durr-e-KHushab hai

mujh ko nahin hai shama ki hajat sar-e-mazar
mera har ek dagh-e-jigar aaftab hai

tum to farogh-e-husn mein bar-KHud ghalat rahe
main ne na kah diya tha ye dhoka hai KHwab hai

kaba jo ek buton ka purana maqam tha
zahid wahan ke shauq mein padar-rikab hai

bhule hue ho ahd-e-jawani pe kis liye
is se to paedar ziyaada habab hai

ruswa mere kiye se na hoga wo hashr mein
us ka sharik ye dil-e-KHana-KHarab hai

phande mein phans gaya dil-e-nadan hazar haif
kis ko KHabar thi zulf tumhaari tanab hai

kyun tum ne mere KHat ke parKHache uDa diye
naraaz ho to mujh se ho mujh par itab hai

hum ko nahin hai jis lab-e-nazuk se faiz kuchh
ho wo jo KHush-numai mein barg-e-gulab hai

mutrib ne rag chheDa hai aa kar shab-e-firaq
kya dil-KHarash naghma-e-chang-o-rabab hai

'rasiKH' mila hai apni riyazat ka phal mujhe
naKHl-e-suKHan jo aaj mera baryab hai

(677) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.