Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main, Urdu Ghazal By Mohsin Aftab Kelapuri

Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohsin Aftab Kelapuri. Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بشیرؔ بدرؔ کی غزلیں سنا رہا تھا میں

محسن آفتاب کیلاپوری

بشیرؔ بدرؔ کی غزلیں سنا رہا تھا میں

کل آسماں کو زمیں پر بلا رہا تھا میں

گزر رہا تھا میں جب میکدے کی راہوں سے

جگر کے ہاتھ سے دامن بچا رہا تھا میں

یہ بات سب کو بتائی تھی مرزا غالب نے

بہار گھر میں تھی صحرا اڑا رہا تھا میں

تمہاری یاد بھی چپکے سے آ کے بیٹھ گئی

غزل جو میرؔ کی اک گنگنا رہا تھا میں

اداس شام نظر آئی جان کے جیسی

جب انتظار میں تیرے کھڑا رہا تھا میں

وہ امرتا کی طرح مجھ سے عشق کرتی تھی

سو اپنے آپ کو ساحرؔ بتا رہا تھا میں

فرازؔ و فیضؔ کے دل کش کلام کو پڑھ کر

محبتوں کا طریقہ سکھا رہا تھا میں

مجازؔ کان میں میرے بتا گئے آ کر

کہ کیسے حسن کو پاگل بنا رہا تھا میں

شکیلؔ اعظمی کہنے لگے پروں کو کھول

جو سوئے آسماں سر کو اٹھا رہا تھا میں

یہ باتوں باتوں میں مجھ کو بتا گئے تنویرؔ

کل اس کے ہاتھ کا کنگن گھما رہا تھا میں

نداؔ نے شہر میں گاؤں بسا کے رکھا تھا

سو ان سے ملنے اسی گاؤں جا رہا تھا میں

لپٹ کے رونے لگے مجھ سے شاعر مشرق

جب ان کو قوم کی حالت بتا رہا تھا میں

ظفرؔ بتائیں گے تم کو یا میں بتاؤں گا

کے ملک چھوڑ کے کس طرح جا رہا تھا میں

عجب ہی خواب دکھائی دیا مجھے محسنؔ

کل آفتاب کی میت اٹھا رہا تھا میں

محسن آفتاب کیلاپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main

Mohsin Aftab Kelapuri

bashir 'badr' ki ghazlen suna raha tha main
kal aasman ko zamin par bula raha tha main

guzar raha tha main jab mai-kade ki rahon se
jigar ke hath se daman bacha raha tha main

ye baat sab ko batai thi mirza ghaalib ne
bahaar ghar mein thi sahra uDa raha tha main

tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baiTh gai
ghazal jo 'mir' ki ek gunguna raha tha main

udas sham nazar aai jaan ke jaisi
jab intizar mein tere khaDa raha tha main

wo amrita ki tarah mujh se ishq karti thi
so apne aap ko 'sahir' bata raha tha main

'faraaz'-o-'faiz' ke dilkash kalam ko paDh kar
mohabbaton ka tariqa sikha raha tha main

'majaz' kan mein mere bata gae aa kar
ki kaise husn ko pagal bana raha tha main

'shakil' aazmi kahne lage paron ko khol
jo su-e-asman sar ko uTha raha tha main

ye baaton baaton mein mujh ko bata gae 'tanwir'
kal us ke hath ka kangan ghuma raha tha main

'nida' ne shahr mein ganw basa ke rakha tha
so un se milne usi ganw ja raha tha main

lipaT ke rone lage mujh se shair-e-mashriq
jab un ko qaum ki haalat bata raha tha main

'zafar' bataenge tum ko ya main bataunga
ke mulk chhoD ke kis tarah ja raha tha main

ajab hi KHwab dikhai diya mujhe 'mohsin'
kal aaftab ki mayyat uTha raha tha main

(575) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main written by Mohsin Aftab Kelapuri at UrduPoint. Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main is one of the masterpieces written by Mohsin Aftab Kelapuri. You can also find the complete poetry collection of Mohsin Aftab Kelapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohsin Aftab Kelapuri' above.

Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bashir Badr Ki Ghazlen Suna Raha Tha Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.