Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki, Urdu Ghazal By Mubarak Azimabadi

Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mubarak Azimabadi. Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جبیں پر خاک ہے یہ کس کے در کی

مبارک عظیم آبادی

جبیں پر خاک ہے یہ کس کے در کی

بلائیں لے رہا ہوں اپنے سر کی

ابھر آئی ہیں پھر چوٹیں جگر کی

سلامت برچھیاں ترچھی نظر کی

قیامت کی حقیقت جانتا ہوں

یہ اک ٹھوکر ہے میرے فتنہ گر کی

کیا مجبور آئین وفا نے

نہ کرنی تھی وفا تم سے مگر کی

نہ مانو گے نہ مانو گے ہماری

ادھر ہو جائے گی دنیا ادھر کی

ہوئی ان بن کسی سے مجھ پہ برسے

بلائیں میرے سر دشمن کے سر کی

نہ تیرے حسن بے پروا کی غایت

نہ کوئی حد مرے ذوق نظر کی

مبارک عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki

Mubarak Azimabadi

jabin par KHak hai ye kis ke dar ki
balaen le raha hun apne sar ki

ubhar aai hain phir choTen jigar ki
salamat barchhiyan tirchhi nazar ki

qayamat ki haqiqat jaanta hun
ye ek Thokar hai mere fitnagar ki

kiya majbur aain-e-wafa ne
na karni thi wafa tum se magar ki

na manoge na manoge hamari
udhar ho jaegi duniya idhar ki

hui an-ban kisi se mujh pe barse
balaen mere sar dushman ke sar ki

na tere husn-e-be-parwa ki ghayat
na koi had mere zauq-e-nazar ki

(487) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki written by Mubarak Azimabadi at UrduPoint. Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki is one of the masterpieces written by Mubarak Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Mubarak Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mubarak Azimabadi' above.

Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jabin Par KHak Hai Ye Kis Ke Dar Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.