Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai, Urdu Ghazal By Mubeen Mirza

Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mubeen Mirza. Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دن رات کے دیکھے ہوئے منظر سے الگ ہے

مبین مرزا

دن رات کے دیکھے ہوئے منظر سے الگ ہے

یہ لمحہ تو موجود و میسر سے الگ ہے

موجیں کہ بگولے ہوں مرے دل کا ہر اک رنگ

صحرا ہے جدا اور سمندر سے الگ ہے

وہ شے کہ لگے جس سے مری روح پہ یہ زخم

واقف ہی نہیں تو ترے خنجر سے الگ ہے

پوشیدہ نہیں مجھ سے یہ دنیا کی حقیقت

باہر سے مرے ساتھ ہے اندر سے الگ ہے

اک رنگ برستا ہی رہا مجھ پہ اگرچہ

معلوم تھا وہ میرے مقدر سے الگ ہے

تجھ کو نہیں معلوم ہوئے جس پہ فدا ہم

ہے اور ہی کچھ جو ترے پیکر سے الگ ہے

اس چشم کرم نے مجھے بخشا جو خزینہ

ان مول ہے وہ اور زر و گوہر سے الگ ہے

اس شخص کی الفت نے پھر اک روز بتایا

قسمت مری دارا و سکندر سے الگ ہے

مبین مرزا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai

Mubeen Mirza

din raat ke dekhe hue manzar se alag hai
ye lamha to maujud o mayassar se alag hai

maujen ki bagule hon mere dil ka har ek rang
sahra hai juda aur samundar se alag hai

wo shai ki lage jis se meri ruh pe ye zaKHm
waqif hi nahin tu tere KHanjar se alag hai

poshida nahin mujh se ye duniya ki haqiqat
bahar se mere sath hai andar se alag hai

ek rang barasta hi raha mujh pe agarche
malum tha wo mere muqaddar se alag hai

tujh ko nahin malum hue jis pe fida hum
hai aur hi kuchh jo tere paikar se alag hai

us chashm-e-karam ne mujhe baKHsha jo KHazina
an-mol hai wo aur zar-o-gauhar se alag hai

us shaKHs ki ulfat ne phir ek roz bataya
qismat meri dara-o-sikandar se alag hai

(528) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai written by Mubeen Mirza at UrduPoint. Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai is one of the masterpieces written by Mubeen Mirza. You can also find the complete poetry collection of Mubeen Mirza by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mubeen Mirza' above.

Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.