Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai, Urdu Ghazal By Mubeen Mirza

Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mubeen Mirza. Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے جس نے میرا پتا دیا وہ غم نہاں مرے ساتھ ہے

مبین مرزا

مجھے جس نے میرا پتا دیا وہ غم نہاں مرے ساتھ ہے

مری زندگی مری روشنی دل بے اماں مرے ساتھ ہے

مرا کارواں جو بچھڑ گیا مرے دل کا نقش بگڑ گیا

میں ہوں اک مسافر گم شدہ سو یہی فغاں مرے ساتھ ہے

اسی آرزو کی تڑپ لیے یونہی پھر رہا ہوں میں در بہ در

وہی خاک ہے مرے سر میں بھی وہی آسماں مرے ساتھ ہے

یہ جو آنکھ آج چھلک اٹھی مرے دل کا بھید ہی کھل گیا

میں سمجھ رہا تھا یہ اب تلک غم بے نشاں مرے ساتھ ہے

جو گئے دنوں پہ اٹھی نظر مرے دل نے خود یہ کہا مجھے

میں کسی طلسم کدے میں ہوں کوئی داستاں مرے ساتھ ہے

بڑی مدتوں کے بعد جو اب تری یاد آئی تو یوں لگا

سر دشت وحشت زندگی کوئی مہرباں مرے ساتھ ہے

یہی سوچ کر میں ہوں مطمئن تہی دست پھر بھی نہیں ہوں میں

مرے دوست گو کہ چلے گئے غم دوستاں مرے ساتھ ہے

کسی تال پر کسی تان پر مری روح آج ہے وجد میں

مرا وہم ہے کہ حقیقتاً کوئی نغمہ خواں مرے ساتھ ہے

یہ عجب رنگ مزاج ہے مگر اب یہی مجھے راس ہے

کبھی ڈھونڈھتا ہوں میں خود کو بھی کبھی اک جہاں مرے ساتھ ہے

مبین مرزا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai

Mubeen Mirza

mujhe jis ne mera pata diya wo gham-e-nihan mere sath hai
meri zindagi meri raushni dil‌-be-aman mere sath hai

mera karwan jo bichhaD gaya mere dil ka naqsh bigaD gaya
main hun ek musafir gum-shuda so yahi fughan mere sath hai

isi aarzu ki taDap liye yunhi phir raha hun main dar-ba-dar
wahi KHak hai mere sar mein bhi wahi aasman mere sath hai

ye jo aankh aaj chhalak uThi mere dil ka bhed hi khul gaya
main samajh raha tha ye ab talak gham-e-be-nishan mere sath hai

jo gae dinon pe uThi nazar mere dil ne KHud ye kaha mujhe
main kisi tilism-kade mein hun koi dastan mere sath hai

baDi muddaton ke baad jo ab teri yaad aai to yun laga
sar-e-dasht-e-wahshat zindagi koi mehrban mere sath hai

yahi soch kar main hun mutmain tahi-dast phir bhi nahin hun main
mere dost go ki chale gae gham-e-dostan mere sath hai

kisi tal par kisi tan par meri ruh aaj hai wajd mein
mera wahm hai ki haqiqatan koi naghma-KHwan mere sath hai

ye ajab rang-e-mizaj hai magar ab yahi mujhe ras hai
kabhi DhunDhta hun main KHud ko bhi kabhi ek jahan mere sath hai

(570) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai written by Mubeen Mirza at UrduPoint. Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai is one of the masterpieces written by Mubeen Mirza. You can also find the complete poetry collection of Mubeen Mirza by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mubeen Mirza' above.

Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.