Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai, Urdu Ghazal By Muhammad Ayyub Zauqi

Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muhammad Ayyub Zauqi. Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور رہ کر وطن کی فضا سے جب بھی احباب کی یاد آئی

محمد ایوب ذوقی

دور رہ کر وطن کی فضا سے جب بھی احباب کی یاد آئی

ہجر میں رہ گیا دل تڑپ کر آنکھ فرط الم سے بھر آئی

گلشن حسرت و آرزو کی جب کلی کوئی کھلنے پہ آئی

باد صرصر نے مارے طمانچے اس خطا پر کہ کیوں مسکرائی

اہل زر سے یہ انس و محبت بے زروں سے یہ انداز نفرت

کھل گیا آپ کا زہد و تقویٰ دیکھ لی آپ کی پارسائی

وہ تصنع ہے اخلاق کیا ہے وہ نمائش ہے اخلاص کب ہے

وہ محبت نہیں ہے ریا ہے ہو نہ جب تک دلوں میں صفائی

ان کا انجام ہے سر بلندی جن کے دل میں نہیں خود پسندی

جن کو محبوب ہے خاکساری ان کو آتی نہیں خود ستائی

دل ہے انسان کا آبگینہ اس کے جلووں کا ہے یہ خزینہ

بیٹھنے دیں نہ گرد کدورت آبگینے کی رکھے صفائی

روز محشر کی وہ جاں گدازی حد نہ ہوگی سراسیمگی کی

کام آئے گی اس دن یقیناً عاصیوں کے لئے مصطفائی

تیری رحمت کا دل کو یقیں ہے اس میں مجھ کو کوئی شک نہیں ہے

ہوگی مقبول اک روز یا رب تیرے در کی مری جبہ سائی

دور دورہ ہے کذب و ریا کا ہے دلوں سے خلوص آج عنقا

دیکھیے اب کہاں جا رہی ہے اپنے مرکز سے ہٹ کر خدائی

کیا اب انسانیت مر چکی ہے بد ظنی دل میں گھر کر چکی ہے

کچھ سمجھ میں نہیں آ رہا ہے کیوں ہے بد خواہ بھائی کا بھائی

آدمی کی یہ کیسی روش ہے دل میں اس کے یہ کیسی خلش ہے

غیر سے قربت دوستانہ اور اپنوں سے بے اعتنائی

خدمت خلق میں دن گزاریں زندگی اس طرح سے سنواریں

عاقبت میں ملے سرخ روئی اور یہاں بھی نہ ہو جگ ہنسائی

سب سے بہتر ہے صبر و قناعت روح کو اس سے ملتی ہے راحت

لا نہ حرف شکایت زباں پر سن نہ ذوقیؔ کسی کی برائی

محمد ایوب ذوقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai

Muhammad Ayyub Zauqi

dur rah kar watan ki faza se jab bhi ahbab ki yaad aai
hijr mein rah gaya dil taDap kar aankh fart-e-alam se bhar aai

gulshan-e-hasrat-o-arzu ki jab kali koi khulne pe aai
baad-e-sarsar ne mare tamanche is KHata par ki kyun muskurai

ahl-e-zar se ye uns-o-mohabbat be-zaron se ye andaz-e-nafrat
khul gaya aap ka zohd-o-taqwa dekh li aap ki parsai

wo tasannoa hai aKHlaq kya hai wo numaish hai iKHlas kab hai
wo mohabbat nahin hai riya hai ho na jab tak dilon mein safai

un ka anjam hai sar-bulandi jin ke dil mein nahin KHud-pasandi
jin ko mahbub hai KHaksari un ko aati nahin KHud-satai

dil hai insan ka aabgina is ke jalwon ka hai ye KHazina
baiThne den na gard-e-kudurat aabgine ki rakkhe safai

roz-e-mahshar ki wo jaan-gudazi had na hogi sarasimgi ki
kaam aaegi us din yaqinan aasiyon ke liye mustafai

teri rahmat ka dil ko yaqin hai is mein mujh ko koi shak nahin hai
hogi maqbul ek roz yarab tere dar ki meri jubba-sai

daur-daura hai kizb-o-riya ka hai dilon se KHulus aaj anqa
dekhiye ab kahan ja rahi hai apne markaz se haT kar KHudai

kya ab insaniyat mar chuki hai bad-zani dil mein ghar kar chuki hai
kuchh samajh mein nahin aa raha hai kyun hai bad-KHwah bhai ka bhai

aadmi ki ye kaisi rawish hai dil mein is ke ye kaisi KHalish hai
ghair se qurbat-e-dostana aur apnon se be-e'tinai

KHidmat-e-KHalq mein din guzaren zindagi is tarah se sanwaren
aaqibat mein mile surKH-rui aur yahan bhi na ho jag-hansai

sab se behtar hai sabr-o-qanaat ruh ko is se milti hai rahat
la na harf-e-shikayat zaban par sun na 'zauqi' kisi ki burai

(620) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai written by Muhammad Ayyub Zauqi at UrduPoint. Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai is one of the masterpieces written by Muhammad Ayyub Zauqi. You can also find the complete poetry collection of Muhammad Ayyub Zauqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muhammad Ayyub Zauqi' above.

Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.