Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak, Urdu Ghazal By Muhammad Ayyub Zauqi

Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muhammad Ayyub Zauqi. Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فیضان محبت نہ ہوا عام ابھی تک

محمد ایوب ذوقی

فیضان محبت نہ ہوا عام ابھی تک

تاریک ہے انسان کا انجام ابھی تک

میخانے میں ہے تشنہ لبی عام ابھی تک

گردش میں محبت کے نہیں جام ابھی تک

چھینا ہے سکوں دہر کا ارباب خرد نے

ہیں اہل جنوں مورد الزام ابھی تک

واماندۂ منزل ہے جو اے راہ رو شوق

شاید ہے ترا ذوق طلب خام ابھی تک

اس دور سکوں سوز و‌ پر آشوب میں اے دوست

مایوس نہیں ہے دل ناکام ابھی تک

رخصت ہوا گو دور خزاں فصل گل آئی

گلشن کے وہی ہیں سحر و شام ابھی تک

پہونچا تو بشر رفعت مریخ و قمر پر

قابو میں نہیں گردش ایام ابھی تک

دنیا نے جسے رفعت فاراں سے سنا تھا

ہے امن کا ضامن وہی پیغام ابھی تک

گو تابش انوار سے خیرہ ہیں نگاہیں

ہے صبح کے رخ پر اثر شام ابھی تک

نادم تو ہیں وہ قتل پہ ارباب وفا کے

لیکن سر فہرست ہیں کچھ نام ابھی تک

ساقی ترے میخانے کی تنظیم غلط پر

سنتے ہیں کہ رندوں میں ہے کہرام ابھی تک

دھبہ نہیں گو دامن تہذیب پہ لیکن

ملتے ہیں یہاں بندۂ بے دام ابھی تک

مدت ہوئی کچھ ربط نہیں شعر و سخن سے

ہوتا ہے مرے قلب کو الہام ابھی تک

اس پر بھی نگاہ کرم اے فاطر ہستی

ذوقیؔ ہے رہین غم و آلام ابھی تک

محمد ایوب ذوقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak

Muhammad Ayyub Zauqi

faizan-e-mohabbat na hua aam abhi tak
tarik hai insan ka anjam abhi tak

maiKHane mein hai tishna-labi aam abhi tak
gardish mein mohabbat ke nahin jam abhi tak

chhina hai sukun dahr ka arbab-e-KHirad ne
hain ahl-e-junun morid-e-ilzam abhi tak

wamanda-e-manzil hai jo ai rah-raw-e-shauq
shayad hai tera zauq-e-talab KHam abhi tak

is duar-e-sukun soz-o-pur-ashob mein ai dost
mayus nahin hai dil-e-nakaam abhi tak

ruKHsat hua go daur-e-KHizan fasl-e-gul aai
gulshan ke wahi hain sahar-o-sham abhi tak

pahuncha to bashar rifat-e-mirriKH-o-qamar par
qabu mein nahin gardish-e-ayyam abhi tak

duniya ne jise rifat-e-faran se suna tha
hai amn ka zamin wahi paigham abhi tak

go tabish-e-anwar se KHira hain nigahen
hai subh ke ruKH par asar-e-sham abhi tak

nadim to hain wo qatl pe arbab-e-wafa ke
lekin sar-e-fihrist hain kuchh nam abhi tak

saqi tere maiKHane ki tanzim-e-ghalat par
sunte hain ki rindon mein hai kohram abhi tak

dhabba nahin go daman-e-tahzib pe lekin
milte hain yahan banda-e-be-dam abhi tak

muddat hui kuchh rabt nahin sher-o-suKHan se
hota hai mere qalb ko ilham abhi tak

is par bhi nigah-e-karam ai fatir-e-hasti
'zauqi' hai rahin-e-gham-o-alam abhi tak

(531) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak written by Muhammad Ayyub Zauqi at UrduPoint. Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak is one of the masterpieces written by Muhammad Ayyub Zauqi. You can also find the complete poetry collection of Muhammad Ayyub Zauqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muhammad Ayyub Zauqi' above.

Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak is a widely read Urdu Ghazal. If you like Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.