Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha, Urdu Ghazal By Mujahid Faraaz

Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mujahid Faraaz. Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پتا چلا کہ مری زندگی میں لکھا تھا

مجاہد فراز

پتا چلا کہ مری زندگی میں لکھا تھا

وہ جس کا نام کبھی ڈائری میں لکھا تھا

وہ کس قبیلے سے ہے کون سے گھرانے سے

سب اس کے لہجے کی شائستگی میں لکھا تھا

نظر میں آئے بہت سے سجے بنے چہرے

مگر جو حسن تری سادگی میں لکھا تھا

وہ مجھ غریب کی حالت پہ اور کیا کہتا

تمام زہر تو اس کی ہنسی میں لکھا تھا

گئے دنوں کی کہانی ہے جب رئیسوں کا

وقار چال کی آہستگی میں لکھا تھا

فرازؔ ڈھونڈ رہے ہو وفاؤں کی خوشبو

یہ ذائقہ کسی گزری صدی میں لکھا تھا

مجاہد فراز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha

Mujahid Faraaz

pata chala ki meri zindagi mein likkha tha
wo jis ka nam kabhi Diary mein likkha tha

wo kis qabile se hai kaun se gharane se
sab us ke lahje ki shaistagi mein likkha tha

nazar mein aae bahut se saje bane chehre
magar jo husn teri sadgi mein likkha tha

wo mujh gharib ki haalat pe aur kya kahta
tamam zahr to us ki hansi mein likkha tha

gae dinon ki kahani hai jab raison ka
waqar chaal ki aahistagi mein likkha tha

'faraaz' DhunD rahe ho wafaon ki KHushbu
ye zaiqa kisi guzri sadi mein likkha tha

(742) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha written by Mujahid Faraaz at UrduPoint. Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha is one of the masterpieces written by Mujahid Faraaz. You can also find the complete poetry collection of Mujahid Faraaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mujahid Faraaz' above.

Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pata Chala Ki Meri Zindagi Mein Likkha Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.