Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai, Urdu Ghazal By Mujahid Hadi

Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mujahid Hadi. Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کروں میں جان و جگر اب نثار مشکل ہے

مجاہد ہادی

کروں میں جان و جگر اب نثار مشکل ہے

ہو تم پہ پھر سے مجھے اعتبار مشکل ہے

یہاں کی مٹی میں شامل ہے خون میرا بھی

مری زمیں پہ ترا اقتدار مشکل ہے

نہیں ہے خیر کسی کی تری حکومت میں

خزاں کے رہتے ہی آئے بہار مشکل ہے

تمہارے سامنے اب سر نگوں رہیں گے ہم

ہوں دشمنوں سے قول و قرار مشکل ہے

تجھے رفیق سمجھ کر زیاں کو زحمت دی

بناؤں اب میں تجھے رازدار مشکل ہے

فسادی ملک پہ قبضہ جمائے بیٹھے ہیں

نظام ملک ہو یوں سازگار مشکل ہے

میں مدتوں سے ہوں طالب حقوق کا اپنے

ہو مجھ سے اور بھی اب انتظار مشکل ہے

ترے تمام مظالم عیاں ہیں ہر اک پر

تو اب کی بار بنے تاجدار مشکل ہے

لہو سے ہم نے وطن کی زمیں کو سینچا ہے

ملے اب ایسا کوئی جاں نثار مشکل ہے

تجھے تو لوگوں نے سہواً بنا دیا حاکم

کریں وہ اک ہی خطا بار بار مشکل ہے

ہر ایک شخص مخالف ہے ظلم کا ہادیؔ

یہ اتحاد ہو اب تار تار مشکل ہے

مجاہد ہادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai

Mujahid Hadi

karun main jaan-o-jigar ab nisar mushkil hai
ho tum pe phir se mujhe e'tibar mushkil hai

yahan ki miTTi mein shamil hai KHun mera bhi
meri zamin pe tera eqtidar mushkil hai

nahin hai KHair kisi ki teri hukumat mein
KHizan ke rahte hi aae bahaar mushkil hai

tumhaare samne ab sar nigun rahenge hum
hon dushmanon se qaul-o-qarar mushkil hai

tujhe rafiq samajh kar ziyan ko zahmat di
banaun ab main tujhe raazdar mushkil hai

fasadi mulk pe qabza jamae baiThe hain
nizam-e-mulk ho yun sazgar mushkil hai

main muddaton se hun talib huquq ka apne
ho mujh se aur bhi ab intizar mushkil hai

tere tamam mazalim ayan hain har ek par
tu ab ki bar bane tajdar mushkil hai

lahu se hum ne watan ki zamin ko sincha hai
mile ab aisa koi jaan-nisar mushkil hai

tujhe to logon ne sahwan bana diya hakim
karen wo ek hi KHata bar bar mushkil hai

har ek shaKHs muKHalif hai zulm ka 'hadi'
ye ittihad ho ab tar tar mushkil hai

(629) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai written by Mujahid Hadi at UrduPoint. Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai is one of the masterpieces written by Mujahid Hadi. You can also find the complete poetry collection of Mujahid Hadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mujahid Hadi' above.

Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karun Main Jaan-o-jigar Ab Nisar Mushkil Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.