Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai, Urdu Ghazal By Mujeeb Shehzar

Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mujeeb Shehzar. Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب کے برس گلشن میں نہ جانے کیسی ہوا لہرائی ہے

مجیب شہزر

اب کے برس گلشن میں نہ جانے کیسی ہوا لہرائی ہے

موسم موسم گرد آلودہ ساری فضا دھندلائی ہے

مستقبل کے خواب سجائے اپنی اپنی آنکھوں میں

سارے پڑوسی جاگ رہے ہیں اور ہمیں نیند آئی ہے

کون کسے اب سر کرتا ہے وقت ہی یہ بتلائے گا

ایک طرف ہے عزم مصمم ایک طرف دارائی ہے

سطح زمیں کا ہر اک خطہ ڈوب رہا ہے پانی میں

ایسے میں کیا اندازہ ہو کتنی کہاں گہرائی ہے

ہم کو مشینوں کی شورش سے ہوتی ہے گھبراہٹ سی

خاموشی کی چاہت ہم کو گاؤں میں پھر لے آئی ہے

اس بارے میں کچھ بتلا کر آپ وضاحت رہنے دیں

کس نے دل کو زخم دئے ہیں کس کی کرم فرمائی ہے

کوئی برا کیا مانے شہزرؔ سودائی کی باتوں کا

دانشور پھر دانشور ہے سودائی سودائی ہے

مجیب شہزر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai

Mujeeb Shehzar

ab ke baras gulshan mein na jaane kaisi hawa lahrai hai
mausam mausam gard-aluda sari faza dhundlai hai

mustaqbil ke KHwab sajae apni apni aankhon mein
sare paDosi jag rahe hain aur hamein nind aai hai

kaun kise ab sar karta hai waqt hi ye batlaega
ek taraf hai azm-e-musammam ek taraf darai hai

sath-e-zamin ka har ek KHitta Dub raha hai pani mein
aise mein kya andaza ho kitni kahan gahrai hai

hum ko mashinon ki shorish se hoti hai ghabrahaT si
KHamoshi ki chahat hum ko gaon mein phir le aai hai

is bare mein kuchh batla kar aap wazahat rahne den
kis ne dil ko zaKHm diye hain kis ki karam-farmai hai

koi bura kya mane 'shahzar' saudai ki baaton ka
danish-war phir danish-war hai saudai saudai hai

(727) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai written by Mujeeb Shehzar at UrduPoint. Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai is one of the masterpieces written by Mujeeb Shehzar. You can also find the complete poetry collection of Mujeeb Shehzar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mujeeb Shehzar' above.

Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Ke Baras Gulshan Mein Na Jaane Kaisi Hawa Lahrai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.