Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai, Urdu Ghazal By Mukarram Husain Awan Zamzam

Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mukarram Husain Awan Zamzam. Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک وہی خوش جمال تھوڑی ہے

مکرم حسین اعوان زمزم

اک وہی خوش جمال تھوڑی ہے

حسن والوں کا کال تھوڑی ہے

تذکرہ بے وفا کا ہو رہا ہے

یہ تمہاری مثال تھوڑی ہے

یہ جو ہجرت ہے عارضی ہے جناب

مستقل انتقال تھوڑی ہے

درد ہجراں نے یہ کیا ثابت

ہر کسی کو زوال تھوڑی ہے

کیوں تجھے شامل درود کروں

تو محمد کی آل تھوڑی ہے

تجھے اپنا سمجھ کے مانگا ہے

ہر کسی سے سوال تھوڑی ہے

کیا ضروری ہے سب زباں سے کہوں

چشم پر نم کا حال تھوڑی ہے

یہ محبت رہے گی محشر تک

ایک شب کا وصال تھوڑی ہے

آنکھ بھر کے وہ دیکھتا ہے مجھے

اس کا مطلب وصال تھوڑی ہے

جاؤ نخوت تمہیں مبارک ہو

حسن والوں کا کال تھوڑی ہے

ہجر کا مشورہ مفید ہوگا

دوست ہے بد سگال تھوڑی ہے

بوسے اب لینا چھوڑیئے صاحب

گل ہے یہ اس کا گال تھوڑی ہے

ان کی نظر کرم میں شامل ہوں

اس میں میرا کمال تھوڑی ہے

اسے اندھا بھی دیکھ سکتا ہے

یہ بدر ہے ہلال تھوڑی ہے

خاک مٹی تلے دبائی گئی

روح کا انتقال تھوڑی ہے

خواب چبھتے رہے ہیں آنکھوں میں

رنگ ویسے ہی لال تھوڑی ہے

فکر لاحق ہے روزی روٹی کی

مجھ کو تیرا خیال تھوڑی ہے

سانس اونچا لوں میں مدینے میں

میری اتنی مجال تھوڑی ہے

اس سے بچنا محال ہے یارو

میرے دشمن کی چال تھوڑی ہے

دل کو ٹھوکر ذرا سی لگ گئی ہے

اس کا مطلب زوال تھوڑی ہے

چھین سکتا نہیں کوئی مجھ سے

علم ہے یہ منال تھوڑی ہے

سارے عشاق شاد پھرتے ہیں

یہ برہمن کا سال تھوڑی ہے

جب بھی چاہو اٹھا دو زمزمؔ کو

یہ فقیروں کا بال تھوڑی ہے

مکرم حسین اعوان زمزم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai

Mukarram Husain Awan Zamzam

ek wahi KHush-jamal thoDi hai
husn walon ka kal thoDi hai

tazkira be-wafa ka ho raha hai
ye tumhaari misal thoDi hai

ye jo hijrat hai aarzi hai janab
mustaqil intiqal thoDi hai

dard-e-hijran ne ye kiya sabit
har kisi ko zawal thoDi hai

kyun tujhe shamil-e-darud karun
to mohammad ki aal thoDi hai

tujhe apna samajh ke manga hai
har kisi se sawal thoDi hai

kya zaruri hai sab zaban se kahun
chashm-e-pur-nam ka haal thoDi hai

ye mohabbat rahegi mahshar tak
ek shab ka visal thoDi hai

aankh bhar ke wo dekhta hai mujhe
is ka matlab visal thoDi hai

jao naKHwat tumhein mubarak ho
husn walon ka kal thoDi hai

hijr ka mashwara mufid hoga
dost hai bad-sigal thoDi hai

bose ab lena chhoDiye sahab
gul hai ye us ka gal thoDi hai

un ki nazar-e-karam mein shamil hun
is mein mera kamal thoDi hai

use andha bhi dekh sakta hai
ye badar hai hilal thoDi hai

KHak miTTi tale dabai gai
ruh ka intiqal thoDi hai

KHwab chubhte rahe hain aankhon mein
rang waise hi lal thoDi hai

fikr lahiq hai rozi-roTi ki
mujh ko tera KHayal thoDi hai

sans uncha lun main madine mein
meri itni majal thoDi hai

us se bachna muhaal hai yaro
mere dushman ki chaal thoDi hai

dil ko Thokar zara si lag gai hai
is ka matlab zawal thoDi hai

chhin sakta nahin koi mujh se
ilm hai ye manal thoDi hai

sare ushshaq shad phirte hain
ye barahman ka sal thoDi hai

jab bhi chaho uTha do 'zamzam' ko
ye faqiron ka baal thoDi hai

(466) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai written by Mukarram Husain Awan Zamzam at UrduPoint. Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai is one of the masterpieces written by Mukarram Husain Awan Zamzam. You can also find the complete poetry collection of Mukarram Husain Awan Zamzam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mukarram Husain Awan Zamzam' above.

Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Wahi KHush-jamal ThoDi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.