Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota, Urdu Ghazal By Mukhtar Talhari

Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mukhtar Talhari. Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کا دیا جل کر بجھا ایسے نہیں ہوتا

مختار تلہری

محبت کا دیا جل کر بجھا ایسے نہیں ہوتا

تو جاری ظلمتوں کا سلسلہ ایسے نہیں ہوتا

ہوئے ہو جیسے تم کوئی خفا ایسے نہیں ہوتا

کوئی بھی زندگی بھر کو جدا ایسے نہیں ہوتا

لہو کا رنگ بھرنا پڑتا ہے لفظوں کے خاکوں میں

مکمل قصۂ عہد وفا ایسے نہیں ہوتا

بغیر اخلاص کے کیوں بہر سجدہ سر جھکاتا ہے

اے زاہد بندگی کا حق ادا ایسے نہیں ہوتا

مزاجوں میں نہ جب تک نرم گوشے کار فرما ہوں

دلوں کا فاصلہ دیکھو فنا ایسے نہیں ہوتا

نہ جب تک خون کے چھینٹے لگائے جائیں گلشن میں

کسی بھی شاخ پر پتا ہرا ایسے نہیں ہوتا

مرے سینے میں تیرے لمس کی ٹھنڈک نہ آ جاتی

میں تنہائی کی آتش میں جلا ایسے نہیں ہوتا

بہت دامن بچا کر جھاڑیوں میں چلنا پڑتا ہے

گلوں تک جانے کا طے راستہ ایسے نہیں ہوتا

مری میت پہ آ کر مسکرانا بھی ضروری ہے

مرے قاتل حساب خوں بہا ایسے نہیں ہوتا

سر محفل نظر ان کی نہ اے مختارؔ پڑ جاتی

تو میری سمت کوئی دیکھتا ایسے نہیں ہوتا

مختار تلہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota

Mukhtar Talhari

mohabbat ka diya jal kar bujha aise nahin hota
to jari zulmaton ka silsila aise nahin hota

hue ho jaise tum koi KHafa aise nahin hota
koi bhi zindagi bhar ko juda aise nahin hota

lahu ka rang bharna paDta hai lafzon ke KHakon mein
mukammal qissa-e-ahd-e-wafa aise nahin hota

baghair iKHlas ke kyon bahr-e-sajda sar jhukata hai
ai zahid bandagi ka haq ada aise nahin hota

mizajon mein na jab tak narm goshe kar-farma hon
dilon ka fasla dekho fana aise nahin hota

na jab tak KHun ke chhinTe lagae jaen gulshan mein
kisi bhi shaKH par patta hara aise nahin hota

mere sine mein tere lams ki ThanDak na aa jati
main tanhai ki aatish mein jala aise nahin hota

bahut daman bacha kar jhaDiyon mein chalna paDta hai
gulon tak jaane ka tai rasta aise nahin hota

meri mayyat pe aa kar muskurana bhi zaruri hai
mere qatil hisab-e-KHun-baha aise nahin hota

sar-e-mahfil nazar un ki na ai 'muKHtar' paD jati
to meri samt koi dekhta aise nahin hota

(529) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota written by Mukhtar Talhari at UrduPoint. Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota is one of the masterpieces written by Mukhtar Talhari. You can also find the complete poetry collection of Mukhtar Talhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mukhtar Talhari' above.

Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Ka Diya Jal Kar Bujha Aise Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.