Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota, Urdu Ghazal By Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مسرت کا ہمیشہ ایک ہی عالم نہیں ہوتا

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

مسرت کا ہمیشہ ایک ہی عالم نہیں ہوتا

کرم ہوتا تو ہے ان کا مگر پیہم نہیں ہوتا

خوشی کا غم جنہیں ہوتا ہے سمجھو غم نصیب ان کو

جنہیں غم کی خوشی ہوتی ہے ان کو غم نہیں ہوتا

نہ لے جاتا جو مجنوں عالم دیوانگی ہم سے

تو اس کا ذکر خیر افسانۂ عالم نہیں ہوتا

کہاں ہے تو برائی سے برائی مٹ نہیں سکتی

ارے غافل اندھیرے سے اندھیرا کم نہیں ہوتا

یہی وہ وقت ہے جب آدمی کو ہوش آتا ہے

خدا کی یاد سے غافل دل پر غم نہیں ہوتا

برا جب وقت آتا ہے تو اس دنیائے الفت میں

کوئی مونس نہیں ہوتا کوئی ہمدم نہیں ہوتا

تسلی سے کبھی تسکین خاطر ہو نہیں سکتی

جنون شوق بڑھ جاتا ہے اس سے کم نہیں ہوتا

فضائے باغ ہستی میں خزاں بھی ہے بہاریں بھی

کہاں خوشیاں نہیں ہوتیں کہاں ماتم نہیں ہوتا

نباہ آساں نہیں دنیا کی رسم دوست داری کا

کوئی دم ساز ہوتا ہے تو ہم میں دم نہیں ہوتا

فنا کے بعد ملتا ہے سکون راحت منزل

جہاں شیرازۂ ہستی کبھی برہم نہیں ہوتا

کوئی ملتا ہے جب راہ طلب میں رہبر کامل

تو ہم کو دورئ منزل کا بھی کچھ غم نہیں ہوتا

ہمارے ایک دم پر ایک دم جو کچھ گزرتی ہے

محبت میں کبھی ایسا تو اے ہمدم نہیں ہوتا

تمہیں امداد کو خوشترؔ کی آ جاتے ہو مشکل میں

سہارا جب کوئی اے سرور عالم نہیں ہوتا

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota
karam hota to hai un ka magar paiham nahin hota

KHushi ka gham jinhen hota hai samjho gham-nasib un ko
jinhen gham ki KHushi hoti hai un ko gham nahin hota

na le jata jo majnun aalam-e-diwangi hum se
to us ka zikr-e-KHair afsana-e-alam nahin hota

kahan hai tu burai se burai miT nahin sakti
are ghafil andhere se andhera kam nahin hota

yahi wo waqt hai jab aadmi ko hosh aata hai
KHuda ki yaad se ghafil Dil-e-pur-gham nahin hota

bura jab waqt aata hai to is duniya-e-ulfat mein
koi monis nahin hota koi hamdam nahin hota

tasalli se kabhi taskin-e-KHatir ho nahin sakti
junun-e-shauq baDh jata hai is se kam nahin hota

faza-e-bagh-e-hasti mein KHizan bhi hai bahaaren bhi
kahan KHushiyan nahin hotin kahan matam nahin hota

nibah aasan nahin duniya ki rasm-e-dost-dari ka
koi dam-saz hota hai to hum mein dam nahin hota

fana ke baad milta hai sukun-e-rahat-e-manzil
jahan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hota

koi milta hai jab rah-e-talab mein rahbar-e-kaamil
to hum ko duri-e-manzil ka bhi kuchh gham nahin hota

hamare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai
mohabbat mein kabhi aisa to ai hamdam nahin hota

tumhin imdad ko 'KHushtar' ki aa jate ho mushkil mein
sahaara jab koi ai sarwar-e-alam nahin hota

(680) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Poetry

تلاش صورت تسکیں نہ کر اوہام ہستی میں (ردیف .. ے)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Talash-e-surat-e-taskin Na Kar Auham-hasati Mein

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

کہاں رہ جائے تھک کر رہ نورد غم خدا جانے (ردیف .. ک)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Kahan Rah Jae Thak Kar Rah-naward-e-gham Khuda Jaane

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جس نے جی بھر کے تجلی کو کبھی دیکھا ہو (ردیف .. ے)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Jis Ne Ji Bhar Ke Tajalli Ko Kabhi Dekha Ho

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

غم و کرب و الم سے دور اپنی زندگی کیوں ہو

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Gham-o-karb-o-alam Se Dur Apni Zindagi Kyun Ho

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

کسی کی یاد کو اپنا شعار کر لیں گے

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Kisi Ki Yaad Ko Apna Shiar Kar Lenge

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جنون عشق کی یہ فتنہ سامانی نہیں جاتی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

نذر توبہ ہم کریں گے مے پرستی ایک دن

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Nazr-e-tauba Hum Karenge Mai-parasti Ek Din

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

غم نہ اپنا نہ اب خوشی اپنی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Gham Na Apna Na Ab Khushi Apni

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

You can read Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar at UrduPoint. Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota is one of the masterpieces written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. You can also find the complete poetry collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar' above.

Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.